11+ Proven Ways India Mein Online Paise Kaise Kamaye

Rojana hajaro log Google par search karte hai India mein online paise kaise kamaye, Google se paise kaise kamaye, Mobile se paise kaise kamaye, Ghar baithe paise kaise kamaye, How to make money online at home.

Vaise kon nahi chata ke aaram se ghar baithe paise kaise kamaye. Bahar jana, traffic me fasna, Pollution me apna face khrab karna. Or vo bhi tab, jab job ki koi safety na ho.

Kitne hi sare College students hai jo Part Time work karke online paise kamane ke tarike khojte rahte hai. Jisse unka daily ka kharcha chalta rahe. Students bina apni study ka nuksaan kare, thoda time invest karke asani se Online paise kama sakte hai.

Job or Business to har koi karta hai, Par kuch log hote hai jo Kuch alag karna chate hai. Jaise koi Sportsman banna chata hai to koi Actor ya Singer. Par sabke mann me ek chij jaroor hoti hai ke vo kuch apna kare. Jaise dusri countries me to jyada tar log apna side Business chalte hai. To agar ap bhi janna chahte hai ke India mein online paise kaise kamaye ghar baithe, to is Article ko pura padhe.

Isme mai kuch Ideas share karunga Jisse Ap bhi Ghar baithe online paise kama sakte hai.

Agar ap ye soch rahe hai ke Online paise kamane ke liye koi Khaas Age matter karti hai, to aisa bilkul nahi hai. Ap agar 50 saal ke hai ya 15 saal ke hai, Male ho ya Female. Online paisa koi bhi kama sakta hai. Bas apke andar kuch karne ki iccha or lagan honi chaiye, chahe talent ho ya na ho.

Chaliye ab jante hai ke India Me Online Paise Kaise Kamaye Ghar Baithe.

India Mein Online Paise Kaise Kamaye

India-mein-online-paise-kaise-kamaye

1. Blogging Se Paise Kaise Kamaye

Blogging ek aisa jariya hai ghar baithe paise kamane ka jisko kisi bhi age ka insaan asani se kar sakta hai. Or acchi pasive income generate kar sakta hai. Internet se paise kamane me Blogging 1st number aata hai. Iske liye apko jyada kuch karne ki need nahi hoti. Bas apke pass laptop ya computer or Internet connection hona chaiye. Or kisi bhi ek topic ki knowledge.

Topic kuch bhi ho sakta hai. Jaise Food, Travel, Tech, Mobile, etc. Kuch log aaj Food blogger bankar paisa kama rahe hai, to kuch travel blogger bankar.

Blogging ki Language me Topic ko Niche kahte hai. Bas apko ek accchi niche decide karni hoti hai. Uske baad ap blog likhkar Adsense ya Affiliate marketing se apne blog ko monetize kar sakte hai.

Niche mai kuch articles share kar raha hu blogging se related, ap inko read karke acche se samajh sakte hai blogging kya hai, Blogging kaise karte hai, Blogging se paise kaise kamaye, or blog niche kya hoti hai.

2. Youtube Se Paise Kaise Kamaye

Aagr ap Online free me paise kamana chate hai bina kisi kharche ke, To Youtube ek bahut accha paltform hai Ghar baithe online paise kamane ka. Youtube channel banane me koi paisa lagta nahi lagta, bas agar apke pass koi knowledge hai jise ap dusro ke sath share kar sakte hai to ap Yotube se aram se paise kama sakte hai.

Aaj Ke time me 2nd sabse bada search Engine youtube hai, yaha millions ka daily traffic hai. Ap bhi na jane kitni hi baar din me youtube par kuch na dekhte rahte honge, To ku na ap bhi Youtube par apna channel banaye or duniya apko dekhe.

Youtube par ap kisi bhi chij ka channel bana sakte hai jaise Food recipes, Education related, Pranks, Reviews, Tutorial.

Youtube monetization ka paisa bhi bhot accha deti hai. Youtube par creator ko 60% add ka commission milta hai 40% Youtube apne pass rakhti hai. To paise bhi accha khasa milta hai youtube par.

3. Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye

India Mein Internet se Paisa Kaise Kamaye agar ap ye soch rahe hai to Affiliate marketing ek bahut accha tarika hai Online Earning karne ka.

Affiliate marketing vo hoti hai jisme hum kisi company ka koi product sell karvate hai or uske badle company hume kuch commission deti hai.

Amazon, Flipkart, Clickbank, JvJoo ye kuch aisi companies hai affiliate products provide karvati hai. Ap Chahe to apne Blog se ya Youtube ki videos ki help se affiliate marketing start kar sakte hai.

Affiliate marketing karne ke liye apko phle registration karna hoga site par or fir uske baad ap kisi product ke link ko jab bhi kahi share karenge, or us link ki help se koi bhi jab koi product purchase karega to uska commission apko milega.

Niche maine ek article share kara hai amazon affiliate marketing kaise karte hai, ye ek detailed article hai, ap isko read kariye or aj se hi affiliate marketing se paise kamaye.

Read Also – Amazon Affiliate Marketing Kaise Kare Or Paise Kamaye

4. Online Tuition Se Paise Kaise Kamaye

Agar apko padhane or padhane ka shok hai, or apko dusro ko padhana accha lagta hai, to ap Online Tuition padha kar bhi paise kama sakte hai. Kitni hi sari aisi Girls hoti hai jo shadi ke baad ghar ke bahar jakar job nahi kar pati hai, unke liye Online tuition padhana or isse paise kamana ek bahut hi accha tarika hai Online Income karne ka.

Internet par kitni hi sari aisi websites hai jinpar ap Online Tuition padha sakte hai. Online tuition padhane ke liye apke pass bas mobile or internet connection hona chaiye.

Ap chahe to Udemy or Unacademy par bhi apne Course ya Lecture bana kar upload kar sakte hai. Ye dono hi bahut acche platform Tuition padha kar paise kamane ke liye.

Niche Diye hue article me detail me padhe Udemy se paise kaise kamaye.

Read Also – Udemy Kya Hai? Udemy Se Paise Kaise Kamaye

Kuch Websites Online Tuition Padhane ki

5. Online Saman Bechkar Paise Kaise Kamaye

Aaj ke time me kon aisa hoga jo Online Shopping nahi karta hoga. Par Online shopping karne valo ke liye saman kon provide karvata hai kabhi socha hai?

Agar apka jawab hai Amazon or Flipkart to aisa nahi hai, Ye sites bas marketplace hai, jaha koi bhi apna saman sell kar sakta hai. Ye khud ka saman nahi sell karte hai, ye apni site ke through dusro ka saman sell karvat hai.

To agar apke pass bhi koi aisa saman hai jisko ap sell kar sakte hai, jaise Clothes, Shoes, Decorative items, Handmade Items. To ap bhi Amazon, Flipkart par seller bankar Online saman sell kar sakte hai.

Ap chahe to market se saman lekar bhi online sell kar sakte hai. Isme bhi kafi accha Profit mil jata hai.

6. Online Photos Sell Karke Paise Kaise Kamaye

Agar apko Photography karne me maja aata hai, or nature ki Photos ap shoot karte rahte hai, to ab ap photos ko sell karke bhi paise kama sakte hai. Photos sell karne ke liye kuch websites hai jinpar ap photos sell karke sakte hai or acche paise kama sakte hai.

7. Google Se Paise Kaise Kamaye

Google se paise kamane me Blogspot, Adsense, Admob ye sare platforms aate hai. Inhi ki help se hum Google se paise kama sakte hai.

8. Fiverr Se Paise Kaise Kamaye

Kya apko pata hai Fiverr Kya Hai or Fiverr se paise kaise kamaye ja sakte hai. Fiverr ek aisa platform hai jaha par Freelancers apni services provide karte hai jiske pass jo skills hai uske according. Or jisko jis service ki need hai vo vaha se Freelancer ko Hire kar sakta hai. Internet se paise kaise kamaye agar ab bhi apke mind me ye question hai to ap fiverr ko ek baar jaroor use kare.

Fiverr par ap Logo Design, Website design, Content writing, Translator, Video, Animation jaisi services provide karke acche khase paise kama sakte hai.

Signup On Fiverr – Fiverr

9. Online Paise Kaise Kamaye App Se

Ap agar APP se paise kamana chate hai to iske liye kafi sari apps hai jinki help se online paise kama sakte hai app se. Inme kuch apps me real cash jeet sakte hai, to kuch me vouchers. Maine niche kuch apps suggest kar raha hu ap chahe to unko use kar sakte hai. Ye sabhi geneuin apps hai.

Swagbucks, U Speak We Pay, mCent , TaskBucks, Moocash, Google Opinion Rewards, Squadrun, Pact, Viggle

10. Online Paise Kaise Kamaye Website Se

Online paise kaise kamaye website se agar iski baat kare to aisi bhot sari websites or tarike hai jinki help se ap online paise kama sakte hai. Niche diye hue article me maine bahut sari aisi websites ke bare me bataya hai jinki help se ap india me online paise kama sakte hai.

Read also – Top 19 Online Paisa Kamane Ki Website

11. Mobile Se Paise Kaise Kamaye

Agar apke pass laptop ya computer nahi hai to koi baat nahi, ap mobile se bhi paise kama sakte hai. Jaise kuch apps ki help se ap Dusro ke liye Logo Design karke bhi paise kama sakte hai, Instagram se paise kama akte hai, Facebook or youtube se bhi paise kama sakte hai.

Instagram se paise kaise kamaye iske bare me detailed article padhne ke liye niche diye hue link par click kare.

12. Google Task Mate App Se Paise Kaise Kamaye

google-task-mate-app-se-paise-kaise-kamaye

Google ne abhi kuch din phle Google task mate app launch kari hai, jisse ap diye gye kuch simple se tasks ko karke online earing kar sakte hai. Ye app google ki hai to paise milenge hi iski to guaranty hai. Task bhi bahut simple se hai. Ek Field task hai or ek Sitting. Field task me apko market, restaurant ki pics ya information dalni hoti hai. or Sitting task me sentence convert karne jaise task hote hai.

Agar ap or detail me janna chate hai ke Google task mate app kya hai ya Google task mate app se paise kaise kamaye to is article ko read kare.

Read Also – Instagram Se Paise Kaise Kamaye

Conclusion

Hope ke Is article ko read karne ke baad apko apke question ka answer mil gya hoga ke India mein online paise kaise kamaye. Ya internet se paisa kaise kamaye. Online paisa kamane ke vaise to bahut sare tarike hai par ye kuch aise tarike hai jo maine khud use kare hai.

Apko bhi inme se jo tarika accha lage usse online earning karni start kare. Or is article ko apne friends ke sath share karke unko bhi ghar baithe online earning karne me help kare.

Apko ye article kaisa laga ya Koi doubt ho to niche comments me jaroor bataye.

Leave a Comment