Google Task Mate App Kya hai

Google Task Mate App Se Paise Kaise Kamaye

Google ne haal hi me apni ek new app launch kari hai jiska naam hai Google task Mate. Jiski Social Media par kafi charcha hai. To agar apke mann me bhi ye sawal hai ke Google Task Mate App Kya Hai or Google Task Mate App Se Paise Kaise Kamaye to in sabhi sawalo ka ans apko is article me milega.

Google Task Mate App Kya Hai

Google Task Mate App Google ke dawara Launch kari gyi ek new app hai jisse ap ghar batihe online earning kar sakte hai. Par abhi is app ka BITA Version hi Launch hua hai. BITA version ka matlab hai ke abhi is app ko sabhi users ke liye nahi open kara gya hai. Or ye app abhi testing me hai.

Google Task Mate APP me Google apko kuch tasks complete karne ke liye deta hai, jaise hi User diye gye tasks ko pure kar leta hai to google kare gye taks ke according user ko payment karta hai. Isme har task ke alag alag levels hai, or paise bhi levels ke according hi diye jate hai.

Abhi tak is app ko 500k+ logo ne download kara hai. Par vahi loh access kar pa rahe hai jinke pass iska Referral code hai. Kunki abhi ye application Testing Mode hai. Iska referall code google ne kuch hi users ko provide kara hai, Or ek referall code se sirf 3 users hi SignUp kar sakte hai. Par ha jab ye app sabhi users ke liye launch hogi to shayad ek referral code ko jyada users use kar paynge. To abhi humne apko bataya ke Google Task Mate APP Kya Hai. Aage hum jangenge isko kaise download kare or use kare. Or Google Task Mate app se paise kaise kamaye.

Google Task Mate APP Ke Benefits

  • Ap bina kisi Technical Knowledge ke Google Task Mate App se paise kama sakte hai.
  • Isme age koi matter nahi karti hai, ap kisi bhi age ke ho to bhi isse paise kama sakte hai.
  • Is app ke dwara ap ghar baithe online paise kama sakte hai.

Google Task Mate App Download Kaise Kare

Google Task Mate App ko download karne ke liye user ke pass Android Mobile hona chaiye. Starting me iska apko Early Acesses Version hi download karna hoga. Isko use karne ke liye apke pass Internet Connection hona bahut jaroori hai.

Google Task Mate App ko Download Kaise Kare iske liye niche diye gye steps ko follow kare.

Google-task-mate-app-download

  • Install apr click kare
  • Install hone ka wait kare
  • Install hone ke baad Apni Email ID daleGoogle-Task-Mate-app-kya-hai 1
  • Fir Get Started par click kare.
  • Apni language select kare English Ya Hindi me se jisme bhi ap ye app chalana chate hai.google-task-mate-app-se-paise-kaise-kamaye 2
  • Fir Referral Code dale or Continue par click kare.

Google-Task-Mate-App-Download-Kaise-Kare 3

  • Is apni vo language choose kare jisme ap acche hai. Or done par click kare.

google-task-mate-app

  • Ab bas apka task mate app par registration pura ho chuka hai.

Google Task Mate App Se Paise Kaise Kamaye

google-task-mate-app-se-paise-kaise-kamaye

Google Task Mate App se paise kamane ke liye apko app ko download karne ke baad signup karna hota hai. Jo humne upar diye gye steps me pura kar liya hai. Ab Task complete karne ke liye niche diye gye steps ko dekhe.

  • Task App ko Open Karne ke baad apko apki screen par kuch tasks dikhenge, inmse se apko apni pasand ke task ko select karna hoga.
  • Google Task Mate app me 2 tarah ke tasks diye gye hai.
  • Ek Field Task Hai Or ek Sitting task.

Google-Task-Mate-APP 5

  • Apko in dono tasks me se apne liye ek task select karna hota hai.
  • Fir diye gye tasks ko pura karna hoga jiske baad apke wallet me paise aa jaynge.
  • Dhyan rahe ap app me account section me jake apni Bank Account Details ko shi shi fill kare, jisme apko paise transfer honge google ke dwara.

Ye Bhi Read Kare –

India Mein Online Paise Kaise Kamaye

Top 19 Online Paisa Kamane Ki Website

Task Mate APP Me Kaise Task Hote Hai

Jaisa ki maine apko abhi upar bataya ke apko 2 tarah ke task diye jate hai. Field or Sitting task.

Field task me apko Restaurant, Office, Super Market ki photo click karna ya unke bare information dena jaise tasks hote hai.

Sitting task me apko Kisi regional language ko translate karna, or Kisi sentence ko record karne jaise task milte hai.

Google Task Mate APP Se Paise Kaise Withdraw Kare

  • Sabse phle apne bank account ko add kare app me.
  • App chahe to e-wallet ko bhi add kar sakte hai or usme paise le sakte hai.
  • Apni profile page me jake Cash-Out option par click kare.

task-mate-app-withdrawal

  • Apne account ya wallet me paise transfer kare.

Google Task Mate App FAQs

Google Task Mate App ko download kaise kare?
Google Task Mate App ko Google playstore se download kare.

Google Task Mate App Ke Fayde Kya Hai?
Iss app ki help se ap ghar baithe online earning kar sakte hai.

Google Task Mate App Me Kitni Tarah Ke Tasks Hote Hai?
Task Mate App me 2 tarah ke tasks hote hai. Field or sitting task.

Kya hum Task Mate app ko bina referral code ke chala sakte hai?
Nahi, ap bina referral code ke Task Mate app ko nahi chala sakte hai.

Google Task Mate App ke referral code kitne log use kar sakte hai?
Google Task Mate App ke referral code ko 3 jane use kar sakte hai ek time me.

Google Task Mate App Se Paise Kaise Kamaye?
Google Task Mate App ko playstore se download karne ke baad diye gye tasks ko pure kare or paise apne account me le.

3 Se Jyada Baar Referral Code Ko Use Karne Se Kya Hota Hai?
Ek samay me agar 3 log se jyada referral code ko use karte hai to unke account ko block kar diya jayga.

Kya hum complete kiye hue task ke direct apne bank account me le sakte hai?
Yes, Ap Cash-Out option me jakar apne paise direct apne bank account me le sakte hai.

Conclusion

To dosto jaise ki apne jaan hi liya hai ke Google task mate app kya hai or google task mate app se paise kaise kamaye. To aj hi download kare is app ko or paise kamana start kare. Is article ko apne friends or family ke sath bhi share kare kunki is app se har koi aram se ghar baithe paise kama sakta hai.

Agar apko ye article pasand aaya ho to niche comment me bataye or apne Facebook par share kare.

Leave a Comment