Top 7 Secret Tips Instagram Se Paise Kaise Kamaye

Abhi tak agar ap Instagram par sirf photo share karte hai ya bas Chatting karte hai to ap Asani se paise kamane ka ek moka kho rahe hai, Kunki Instagram par photo sharing or chatting karne ke alawa hum Instagram se paise bhi kama sakte hai.

Par ab apke mann me ye aagyga ke akhir Instagram se paise kaise kamaye ja sakte hai. To iska answer mai apko isi article me dunga. Is Article me mai apko detail me bataunga ke akhir Instagram se paise kaise kamaye or Ghar baithe mobile se online earning kaise kare.

Instagram Kya Hai

Instagram ek photo-sharing Social media platform hai jispar ap photos share kar sakte hai or apne dosto ke sath chatting bhi kar sakte ho. Instagram ki parent company Facebook hi hai. Facebook ne 2012 me Instagram ko $1bn me khareed liya tha. Tik Tok ke ban hone ke baad Instagram ne Instagram Reels karke ek naya option diya hai users ko jo bilkul tik tok ki tarah kaam karta hai. Jis par users short video bana ke dusro ke sath share kar sakte hai.

Instagram par daily 500+ million user login karte hai or 95 million photos or videos share hoti hai instagram par. To ap khud hi dekh sakte hai kitni badi audience hai Instagram par. Agar ap sahi tarah se instagram ka use karnege to is audience ki madat se ap acche paise bhi kama sakte hai.

Instagram Par Followers Kaise Badhaye

Instagram-par-followers-kaise-badhaye

Instagram se paise kamane ke bahut sare tarike hai. Un sabhi tareko ko mai is post me cover karunga. Par instagram se paise kaise kamaye ye janne se phle hume Insatagram se paise kamane ke liye kuch basic requirements hai jinko fullfil karna hoga or unke bare me janna hoga.

Basic requirement hai jaise Instagram par account banana, Instagram par BIO me kuch accha sa likhna, Ek Niche Choose karna jaisi or bhi bahut sari chije.

Read Full Article On – Instagram Par Followers Kaise Badhaye

Choose Your Niche

Instagram ho ya Blogging kisi se paise kamane ke liye hume ek niche choose karni chaiye kunki ek particular niche par kaam karne se targeted audience bhi milti hai or competetion bhi kam ho jata hai. Or Brand image bhi banti hai.

Niche koi bhi ho sakti hai par Acchi Niche vahi hai jispar audience bhi ho or paisa bhi. Jaise Fitness, Travelling, Pets. In sabhi niche par audience to acchi hai hi sath me Affiliate Platforms bhi bahut sare hai.

Apne niche se related acche se acche Photos share kare jisse users apke account ko dekhte hi follow kare.

Read Also – Niche kya hoti hai

Instagram Par Bio Me Kya Likhe

Instagram-Se-Paise-Kaise-Kamaye1

Instagram par Bio ek bahut important chij hai, Bio humesha Attractive or Unique honi chaiye. Bio par vahi likhe jisse related apki profile hai. Jisse apke users ko apke account ke bare me samajh aay ke apka account kis niche se related hai.

Logo Add Kariye

Logo bhot important hota hai profile ko attractive banane me. Logo ki help se apki profile ke content ke bare me pata chalta hai. Suppose apka account Pets related hai to ap koi Pet ka logo laga sakte hai.

Post Frequency

Account ko grow karne ke liye apko daily minium 1-2 post jaroor karne chaiye. Kunki Instagram ki algorithm aisi hai jo unhi accounts ko users ko jyada show karti hai jo active rahte hai apne account me. Daily post karte hai, comments ka reply karte hai, or apni audience se interect karte hai.

Shi #Hashtag Use Kariye

Post ki reach badhane ke liye apko apne post ke according Hashtags use karne chaiye. Hashtags use karte hue apko ye dekhna hoga ke kis hashtag par kitne followers or posts hai. Apko maximum 30 hashtags hi use karne chaiye apne post me. or in 30 me bhi half aise hashtags use kare jinpar bahut jyada followers ho or half aise jinpar kam followers ho. Jyada wale is liye kam use karne chaiye kunki unpar daily lakho post hote hai jiski vajah se apka post jyada logo tak nahi ja pata.

Instagram ke liye popular #Hashtags khojne ke liye ap kuch site ka bhi use kar sakte hai.

Sahi Analytics Use Kare

Apne account ko grow karne ke liye Analytics bahut help karti hai. Apko analytics ki help se ye user behavior samjhne me help milti hai. Kis type ki post ko users jyada pasand kar rahe hai or kisko nahi. Engagement jyada kis type ki post par aa rahi hai. Ys sab samajhne me analytics bahut hi jyada help karti hai.

Cross Promotion Karke

Cross Promotion Strategy Bahut hi Simple or Effective hai. Isme hum apne channel ko promote karne ke liye kisi dusre channel ki help lete hai jo hamari same niche ka ho. Jaise hum Fitness related profile Run kar rahe hai to hum kisi dusre channel ko approach karnege jiske hamare Followers ke ass pass hi followers hai. Isme hum uske channel ke liye Post dalenge apne channel me or vo hamare liye post karega.

Jab Hum In requirements ko pura kar lenge tabhi hum soch sakte hai ke Instagram se paise kaise kamaye. Bina inse Instagram se paise kamana easy nahi hoga.

Instagram Se Paise Kaise Kamaye

1. ShoutOut

Ye Instagram se paise kamane ka sabse jyada use hone wala tarika hai. Ye sabse easy bhi hai. Isme apko jyada kuch karna nahi hota hai. Is method me bas apko acche followers ki need hoti hai. Jitne jyada followers utne hi jyada paise.

Is method me apko mahnat karne ki bhi need nahi hoti hai, bas 5-10 min laga ke ek post karni hoti hai or ap easily 1000-1500rs. kama sakte hai.

Is method se paise kamane ke liye phle apko acche followers chaiye, fir apne account ki BIO me ap contact number ya Email ID likh sakte hai jiski help se log apko contact kare or apne account ko promote kara sake.

2. Paid Promotion

Paid promotion me apko dusro ki chije ko promote karna hai or un chijo ko promote karke apko paise milenge. Paid promottion me bahut sari chije aati hai jaise Shops, Hotel, Business, Products. Ap jo chahe vo promote kar sakte hai.

But Paid promotion karte hue ek baat ka jaroor khyal rakhe ki ap vahi product ko promote kare jo apki niche se related ho. Jaise agar apka account Food ke upar ha to to ap food-related stuff ya products ko promote kare, ya Pets related account hai to pets related products ko hi promote kare. Isse apki audience ke sath relevancy bhi bani rahegi or apke followers ka interest bhi bana rahega.

3. Affiliate Marketing

Instagram se paise kamane ke sabse acche tariko me se ek hai Affiliate Marketing. Ye bahut hi easy or simple hai. Isme apko jo bhi product promote karna hai bas uska link generate karke apne Instagram par promote karna hai. Fir jo bhi apke link se purchase karega uska coission apko milega.

Agar ap mujhse puche ke konsa affiliate platfrom sabse aacha hai to mai to yahi kahunga ke Amazon ek bahut accha platfrom hai affiliate marketing ke liye.

Read Also – Amazon Affiliate Marketing Kaise Kare

4. Apna Product Sale Karke  

Lakho log Instagram se apne products bhi sale kar rahe hai or accha kama bhi rahe hai. Instagram par apne products sale karne me sabse jyada fayda ye hota hai ke starting me chahe to ap bina kisi website ke bhi sale kar sakte hai. Bas apko product ki photo upload karni hai or jo bhi koi usko lena chahe vo apko message kar sakta hai or ap payment online leke product ko deliver kar sakte hai.

Ya fir chahe to ap khud ki website bana ke bhi product ko sale kar sakte hai. Ajkal marketing me bahut sare aise platdorm hai jinki help se ap kuch hi der me pani khud ki website bana sakte hai vo bhi bina kisi coding knowledge ke. Jaise WordPress or Shopify.

Website bana ke website ke URL ko apni instagram profile ke BIO me share karna hoga. Fir jab bhi koi URl par click karega vo apki website par chala jayga.

5. Instagram Account Ko Sell Karke

Ap Instagram account ko sell karke bhi Instagram se paise kama sakte hai. Kafi sari companies or celebrities hote hai jo acche followers vala Instagram account ki talash me rahte hai. Agar apke pass kisi niche related acche followers hai to ap Instagram account ko sell karke acche paise kama sakte hai.

6. Instagram Account Manager Ban Kar

Agar apke pass Instagram chalane ki acchi knowledge hai ya ap apna koi Instagram handle run kar rahe jis par acche followers hai to ap us Instagram Profile ko dikha ke oro ka Instagram profile chala sakte hai, jiske badle apko mahine ki ek fix income milegi. Isme apki deal hoti hai per post ke hisab se, ke ek din me ap kitne post dalenge. Instagram account maneger banne ke liye apke pass Instagram ki deeply knowledge honi chaiye tabhi ap acche se dusre ke account ko grow kar paynge.

7. Get Sponsorship

Ap Instagram Sponsorship se bhi paise kama sakte hai.

Agar apke pass acche followers hai to ap Bade Brands ke products ka Advertisements bhi kar sakte hai. Iske badle companies apko acche paise deti hai.

Kuch websites hai jinki help se ap Sponsorship Brands ko dhoond sakte hai.

  • app.izea.com
  • aspireiq.com
  • gosnap.co

Conclusion

Is Article me maine kuch tips share kari Instagram Se Paise Kaise Kamaye or Instagram Par Followers Kaise Badhaye ke bare me. Instagram se paise kamana Bahut difficult bhi nahi hai friends, bas apko consistency me rahna hoga or apne followers ko accha content provide karna hoga. Daily post karna hoga or apne followers ke sath engagement banani hogi.

Agar apko ye article accha laga ho to apne Social media profile par share kare, or agar kuch doubt hai to niche comment box me bataye.

 

 

 

Leave a Comment