New Tricks Instagram Par Followers Kaise Badhaye

Aaj social media har ek insaan ki daily life ka hissa ban gya hai. Shayad hi koi insaan ho jo social media se door ho.  Aaj Ke time me bina social media ya internet ke jene ki soch bhi nahi sakte hai hai. Unhi social media me se ek hai Instagram jo aaj kafi popular ho chuka hai.

Aj puri duniya ke lakho users Instagram ko use karte hai, Jinme normal log bhi hai, Businesses bhi hai or Celebrities bhi hai. Celebrities ke bich me to Instagram kafi popular app hai. Or Inhi celebrities ke Fans hi apne pasand ke stars ko follow karne ke liye Instagram ko use karte hai.

Par Instagram par sara khel Followers ka hai. To is post me mai kuch Tips & Tricks share karunga Instagram Par Followers Kaise Badhaye ke bare me.

Aajkal Instagram sirf ek Social media platform nhi raha hai, balki Instagram ek paise kamane ka app bhi ban gya hai. Yaha par kafi sare businesses apni marketing karte hai or apne Business ki Branding karte hai.

Sath me log Instagram par Niche Related Profile bana kar orAcche followers gain karke Instagram se paise kamate hai.

Agar ap bhi janna chate hai ke Instagram se paise kaise kamaye to Niche di hui post ko jaroor padhe. Isme maine kuch proven tips share kari hai Instagram se paise kamane ki.

Read Also – Top 7 Secret Tips Instagram Se Paise Kaise Kamaye

Instagram se agar paise kamane hai to kafi sare Followers hone chaiye. Jitne jyada followers honge utne hi jyada paise kama sakte hai. Par normal logo ke liye jyada followers gin karna kafi kathin kaam ho jata hai. Isiliye is post me mai kuch tips and tricks share karunga Instagram पर Followers कैसे बढ़ाये ke bare me.

 Instagram Par Followers Kaise Badhaye

Instagram-par-followers-kaise-badhaye

Instagram par followers badhne ke kuch Free tarike hai to kuch Paid tarike hai. Is post me mai dono ke bare me hi bataunga. Vo apki marji hogi ke ap kisse Instagram par followers kaise jyada kare.

Tariko ko janne se phle mai apko bata dena chata hu ke Paid tariko se ap followers to gain kar lenge par Engagement kam hogi. Kunki vo followers organically apki profile par nahi aay hai. Vahi agar ap free tariko se Instagram par followers jyada karenge to like, share bhi jyada aaynge.

Instagram Followers Trick In Hindi

Related UserName

Username hamesha apki profile ke according hona chaiye, jo apki profile ke content se related ho. Agar apki khud ki profile hai to apna naam clear rakhe. Kafi log username me Underscore ka use karte hai. Iska use nahi Karna chaiye. Kunki ye search bar me apki profile ko shi se show nahi karta.

Instagram par jo sabse phle user ko dikhta hai vo hai apki profile ka logo ya Display Picture/ Profile Image. Jab bhi koi user apki profile ya brand page par aayga sabse phle vo apki DP ko hi dekhega. To Logo ya DP hamesha clean or High Quality ki honi chaiye. DP me apke brand ka logo ya Apki Pic ekdum saaf dikhni chaiye. Kunki log apki Image dekhkar hi Impress ho jaynge or apko follow karenge.

Interesting BIO

Instagram-par-followers-kaise-jyada-kare

Photo ke baad jo sabse phli najar padti hai kisi ki pofile me o vo hai BIO par. To apki BIO jitni interesting hogi utne hi jyada users ko attract karegi. Apni BIO me ap apni website ya Youtube channel ka link bhi share kar sake hai. BIO ko hamesha aisa likhe jo apka content user ko saaf dikhe. Isme Emoji or Sticker ka bhi use kar sakte hai ap. Or BIO ko paragraph ki form me na likhkar, alag alag line me likhe.

Sath hi BIO me keywords ka use bhi jaroor kare. Jaise agar ap Digital Marketing ki feild me hai to Digital Marketer, Youtuber, Bloggers jaise keywords ka use kare. Jisse agar koi in keywords ko search karta hai to apki profile usko show ho.

BIO me apne Blog, Website ya Youtube channel ka link jaroor add kare, isse apki value badhegi.

Regular Post

Apko hamesha apne account me active rahna chaiye, Kunki Instagram ki Algorithm ke according jo user kam active hote hai unki profile or post ko Instagram dusre users ko kam show karta hai.

Active rahne ke sath apko regular post bhi karna chaiye. Jisse user ki engagement bani rahe.

Agar apke pass daily post karne ka time nahi hai to Instagram Scheduled Apps ka Use kar sakte hai. Isme ap ek baar me hi pure week ya month ke post scheduled karke chor sakte hai, or vo apne ap apki profile par post hote rahenge.

Like Buffer , social , Hootsuite

Post On Trending Topics

Instagram par followers jyada karne me ye trick kafi help karti hai. Isme as apko trending topic par post karna hai regularly. Jaise ajkal kabhi koi photo viral hoti hai to kabhi koi Video. To ap unko apne account se share karke bhi Instagram followers jaldi badha sakte hai.

Right #Hashtags

Post ko viral karne me #tags kafi important role play karte hai. Shi #tags bahut jaldi apki post ko viral kar sakte hai. Jaise agar koi current incident chal raha hai or ap usi par post daal kar usi #tags ka use karnege to apki post ke viral hone ke chances bahut badh jate hai.

#tags ka ek fayda ye bhi hai ke agar koi us #tag jaise #instagramfollowers #digitalmarketing #car #lovestatus search box me search karega to jitne logo ne bhi ye #tags use kare honge apne post me vo sab post search karne vale ko show honge.

Par #tags use karne hue ye dhiyan rakhe ke maximum 30 #tags ka hi use kare.

#tags use karte samaye ye dhyan rakhe ke ap kuch #tags vo use kare jin par kafi jyada followers hai or kuch vo use kare jinpar followers kam hai. Kam followers vale #tags use karne ka fayda ye hoga ke apka post us #tag par search me upar aayga. Or jayda followers vale #tags me vo jyada logo tak jayda par usme chances kam hote hai kunki bahaut sare log us #tags ko use karte hai, isme apka post niche chala jata hai.

Use Caption

Jab bhi ap koi Photo Instagram par share kare to usme Caption jaroor likhe or Caption question ke roop me hona chaiye, jisse logo ke answers aay. Isse Engagement increase hoti hai or apki post jyada logo tak jati hai.

Use Facebook

Apko apna instagram account facebook ki help se banana chaiye. Isse fayda ye hoga ke apke jitne bhi friends facebook par hai un sabhi ko pata chal jayga ke ap Instagram par hai.

Agar instagram par apka phle se account hai to usko facebook se connect kare jisse jab bhi koi apki profile par aay to usko pata chal jaye ke ap instagram par hai or fir vo apko insta par bhi follow kar sakta hai.

Use Other Social Media to Increase Followers

Agar apke pass Youtube channel hai, ya Blog or Website hai to ap vaha bhi apne Instagram account ko share kar sakte hai, jisse baki social media ke log bhi apko instagram par followe kare.

Follow Others And Get Follow Back

Ye ek aisi Trick hai jo hamesha kaam aati hai. Isme apko dusre logo ko follow karna hota hai, or jab ap dusre logo ko follow karte hai to kafi jyada chances hote hai ke vo bhi apko follow back kare. Isse ap jaldi hi Instagram par follower jyada kar sakte hai.

Isme ap dusro ko randomly bhi follow kar sakte hai.

Increase Followers By Like And Comments

Is Trick ki help se ap organically bahut jaldi followers badha sakte hai, or followers bhi ap apni niche related hi milenge.

Is trick me apko bas like or comments karna kisi or ki Pics par aay hue Comments par, jo apke content se related ho. Jab ap kisi ke comment par Like Or Comment karenge to vo bhi apki profile ko open karke dekhega, or agar apka content us person ke interset ka hoga to vo apko jaroor follow karega.

Collaboration With Others

Ye ek bahut powerfull tarika hai jaldi se Instagram par followers badhane ka, is tarike me ap dusro ke sath collaboration akrte hai. Or unke post ko apni profile par share karte hai or vo apke post or profile ko apni profile me share karte hai. Jisse dono ke followers dono ki profile ko follow karna start kar dete hai.

ye chij apne Youtubers ko karte hue kafi baar dekha hoga, vo ek dusre ke channels par apni videos dalte hai or share karte hai jisse dono ke subscribers dono ke channels ko subscribe kar dete hai.

Instagram Par Followers Kaise Badhaye Paid Tarike Se

Agar ap Instagram par followers kaise badhaye vo bhi paid tarike se janna chate hai to iska ek best option hai apne Post ko Promote karna. Ap paid add ki help se apne post ko promote kar sakte hai jisse apka post jyada logo tak jayga or apke followers increase hona start ho jaynge.

Instagram Par Followers Badhane Ki Websites

Kafi log chahte hai ke hamari site par ekdum se followers aa jaye, Fir chahe tarika koi bhi ho. To aisa hi ek tarika hai Kisi website ki help se instagram par followers increase karne ka.

Agar ap bhi aisi hi website se followers badhana chate hai to apko google par bas Instagram followers increase website likhna hoga or search karna hoga, or fir kitni hi aisi website khul kar aa jayngi jo kuch hi ghanto me pke hajaro me followers kar dengi.

Par aisi websites safe nahi hoti hai, kunki inpar apko apna Username or Password dono hi dalna hota hai. Or jab dono hi chije inke pass pahunch jati hai to vo apke data ke sath kuch bhi kare apko pata bhi nahi chlne ka.

Instagram Followers Badhane Ka App

Instagram par followers badhane ki website ke sath kafi sari apps bhi hai jinki help se ap instagram par followers jyada kar sakte hai. Iske liye bhi apko google par search karna hoga.

Apps ko install karne se phle uske reviews jaroor read kar le. Usse hi apko idea ho jayga ke vo app kaisi hai, real me followers increase kar bhi rahi hai ya nahi.

Conclusion

To dosto is post me maine kuch tips and tricks share kari hai Instagram par followers kaise badhaye or instagram par follower kaise jyada kare. Hope ke apko ye article pasand aaya hoga or isse apko apne instagram par followers increase karne me help milegi. Agar apko kuch doubt ya problem aay to niche comment box me jaroor bataye. Sath hi ye bhi bataye ke apko ye article kaisa laga.

9 thoughts on “New Tricks Instagram Par Followers Kaise Badhaye”

Leave a Comment