Proven Tips- Amazon Affiliate Marketing Kaise Kare

Amazon Affiliate Program world ka sabse bada Affiliate program hai. Lakho log aj ghar baithe amazon affiliate se acchi income kar rahe hai.

Agar ap bhi janna chahte hai ke Amazon Affiliate Kya Hai( Amazon एफिलिएट क्या है ) or Amazon Affiliate Marketing Kaise Kare (amazon एफिलिएट मार्केटिंग कैसे करे). To is post me mai detail me sab bataunga.

Amazon site ke bare me aaj sab hi jante hai, amazon par maximum sab hi milta hai jo bhi humko chaiye hota hai. Daily hum na jane kitni hi chije amazon pe order karte hai fir chahe vo clothing ho, personal care, ya Electronic item ho or sabse acchi baat ye ke hume kahi bahar nahi jana padta, bs ghar baithe Phone se order kro or ghar baithe hi delivery pao.

Amazon world ki sabse badi Online Shopping Site bhi hai, or iske owner Mr. Jeff Bezos world ke sabse Ameer insaan bhi hai.

Sabse phle baat karte hai amzon affiliate aakhir hai kya

Amazon Affiliate Kya Hai | AmazTon एफिलिएट क्या है

Amazon affiliate ek commission based program hai jo amazon website chalati hai.

Maan lijiye apne koi amazon ka product kisi dusre person ke sath share kara or vo product dusre person ne purchase kar liya to us product ka commission apko milega.

Par ap soch rahe honge ke hum amazon ka product dusre bande ke sath kaise share kare or hume amazon affiliate commission kaise milega?

To iska answer mai aage deta hu.

Amazon Affiliate Marketing Kaise Kare | amazon एफिलिएट मार्केटिंग कैसे करे

Affiliate Marketing Kaise Start Kare

Amazon ke sath Affiliate Marketing karne ke liye apke pass ya to apki koi website honi chaiye, ya fir ap Apne Youtube Channel, Facebook, ya Instagram or Email Marketing se bhi kar sakte hai.

Amazon Affiliate Work Kaise Karta Hai

Jab ap amazon affiliate par signup karke apna account create kar lete hai to uske baad apko ek Unique ID milti hai Amazon ki taraf se.
Fir ap jis bhi product ko share karna chate hai ya product ka affiliate karna chate hai to us product ka link copy kariye or us link ko share Kariye.

Jb bhi ap link copy karte hai to us product ke link me apki unique ID bhi Merge hoti hai. Jisse Amazon ko ye pata chalta hai ke ye product kis affiliator ne share kara.

Or jaise hi apke link se koi product purchase karta hai to kuch time period ke baad amazon apka commission apke amazon affiliate ke account me send kar deti hai.

Isme ek dhyan me rakhne vali baat ye bhi hai, ek apka affiliate link 24Hr tak valid rahta hai, iska matlab ye hua ke agar kisi ne subhe 9 baje apke link se amazon ke product ko dekha or next day 9 baje tak product ko purchase kar liya to bhi apka commission apko hi milega.

Amazon Affiliate ki ek or khasiyat ye bhi hai ke apke kisi bhi product ke link se banda amazon ki site par jaye, or vaha jakar vo koi bhi product purchase kare to apko purchase hue product ka commission milega. Na ki uska jis link se person amazon par gya tha.

Read Also- Blogging kya hai

Read Also- Blogging Se Paise Kaise Kamaye

Amazon Affiliate Commission Chart

amazon-commission-xtremehindi

 

Example se samjhte hai –
Suppose apne Ek Hair Dryer Share kara jiski Keemat 1000rs. hai apne kisi bhi social media platform ya blog se jisme apka affiliate link hai, Or user apke link ke through amazon site par gya product dekhne…

Par Amazon site par jakar user ko koi Laptop pasand aa gya jiski Keemat 50,000 hai, Or user ne ye laptop purchase bhi kar liya. To ab apko 1000 rs. ke trimmer ke commission ki jagah 50,000 vale Laptop ka commission milega.

Amazon Affiliate Program Start Kaise Kare

Sabse phle apko ye dekhna hoga ke ap affiliate kis product ka karna chahte hai.

  • Apni ek Niche choose kare
    Like Shoes, Headphone, laptop, Tv Etc
  • Ek single niche choose karne ka fayda ye hota hai ke isse hame sirf ek hi product niche par focus karna hota hai or Google me hame ranking bhi acchi milti hai.
  • Niche choose karne ke baad hume ye dekhna hai ke hum kis platform ke jariye affiliate marketing karna chahte hai.
  • Amazon Affiliate start karne ke liye ya to ap ek blog website banaye jispe ap product ke features, Specification, Revies ke articles likh sakte hai. Ya fir ap Youtube channel ke jariye, Instagram page ke jariye bhi products ko promote kar sakte hai.

Note: Dhyan rahe Amazon direct link sharing allowed nhi karta.

Matlab ap amazon ke product ka link direct share na kare kisi or bande ke sath.
Instaram Youtube, ya Blog ke jariye hi apna link share kare.

Amazon India Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye

Amazon affiliate se kamana bahut hi easy hai. Bas apko apne social media channels par followers increase karne hai.

Suppose ap instagram se affiliate marketing karna chahte hai to vaha par products ke pics share kariye or links share kariye.

Ajkal bahut sare youtubers ne reviews, Unboxing channels bana rakhe hai Youtube par. Vaha par vo Products ke reviews ya unboxing karte hai. Or sath hi Video ke descripton me Amazon affiliate link laga dete hai. Fir jb bhi koi video dekta hai or agar usko product pasand ata hai to vo us link ke through product purchase kar leta hai. Or Video banane vale ko uska commission mil jata hai.

Same aisi hi ap apna blog bhi create kar sakte hai jisme products ko promote kar sakte hai.

Amazon Affiliate Program Ko Join Kaise Kare

amazon affiliate kya hai

 

  • SignUp par click karne ke baad ek new page open hoga.
  • Isme apko Create Your Amazon Account par click karna hoga. amazon affiliate program in hindi

Ab jo new page open hoga isme apna Name, Email, or Password fill karna hoga.

 Amazon India Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye

 

Ab jo new page open hoga usme apni basic details fill karni hogi.

  • Payee Name: Yaha apna Name fill kare. Aap payee name mai vahi name fill kare jis name se apka bank account hai.
  • Address line 1: isme aapko sirf apna house address enter karna hai
  • Address line 2: Yaha apna area, tehsil enter karna hai
  • Address line 3: apna district ka name fill kare
  • City: Apni city ka name fill kare
  • State, Province or Region: Apne state ka name fill kare
  • Postal Code: Apni City ka zip/pin code enter kare.
  • Country: Country already selected hogi isme aapko kuch fill nahi karna hai.
  • Phone Number: Apna phone number dale
  • Who is the Main Contact From Account: ye option already select hoga. Isme aapko kuch nahi karna hai.
  • For U.S, Tax purposes, are you a U.S Person?: Isme aapko ‘Yes’ or ‘No’ option mai se ‘No’ option select karna hai,

Ab aap Next par click kare.

amazon affiliate marketing kaise kare

 

 Next page click karne ke baad ek or page open hoga is page mai apni website ya mobile app ki detail fill kare

  • Website Url fill karne ke baad ab ‘Next’ par click kare.
  • Ab fir ek long page open hoga yaha aapko kuch details fill karni hai.

Amazon affiliate program kaise join kare

 

What is your preferred associate’s store id? : yaha apna mana chaha id name create karna hai.

Your website list: yaha apki di gyi website show hogi. Is option mai apko kuch nahi karna hai.

What are your websites or mobile apps about : yaha aapko apni di gayi website se related information deni hai vo kya kaam karti hai etc like food related hai ya technology related. Yaha apko apni site related hi information fill karni hai

Which of the following topics best describes your websites on mobile apps: isme apko apki site se related Select primary and second topics choose karna hai

What type of Amazon items do you intent to list on your websites or mobile apps? :  Yaha par books, Mobile, Clothes etc mai se kuch bhi choose kar sakte hai.

What type are your websites or mobile apps? : Yaha bhi primary and secondary option me site related hi option ko choose karna hai.

Amazon affiliate in hindi

 

How do you drive traffic to your websites? : Yaha par blog, seo and social traffic ko select kar sakte hai.

How do you utilize your website and app to generate income: isme aapko dono mai se koi bhi option select kar sakte hai.

How many total unique visitors does your website get per month? : Yaha apni site ke par month visitor se related less than option select kare.

Note: Agar apki website par traffic nahi bhi hai to bhi apka account approve ho jayga.

What is your primary reason for joining Amazon Associate Program? : Isme other select kar de.

How did you hear about us: Isme apko koi ek option choose karna hai aap blog post. Advertisement, Friend etc mai se kuch bhi select kar sakte hai

Ab captcha code enter karne ke baad ‘Terms and Condition‘ agree kar fill option par click kar dena hai.

Note: Amazon account ki ek condition ye bhi hai ke apko 6 months me minimum 3 sales generate karni hogi, nahi to apka account band ho jayga.

Congratulations:

Ab apka Amazon affiliate program join ho chuka hai. Or kuch hi der baad apki email id par amazon affiliate program ki taraf se mail aayga. Jisme likha hoga ke apne successful join kar liya hai. Isi mail me apko apni Unique ID milegi jiske jariye ap amzon ke products ko social sites ya website ke through share karke earning start kar sakte hai.

Or jab apke account me 1000rs ho jaynge to ap apna payout apne bank account me transfer kar sakte hai.

Ab apko idea ho gya hoga ke Amazon Affiliate Kya Hai or Amazon Affiliate Marketing Kaise Kare in hindi, amazon affiliate se paise kaise kamaye or Amazon India Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye.

Frequently Asked Questions

Amazon affiliate account me items khud khareed sakte hai kya?

Nahi ap amazon affialiate account se khud nahi khareed sakte, aisa karne par apka account banho sakta hai.

Ek amazon affiliate link se kitne shopping kar sakte hain

Agar ap apne link se khud shopping kar rahe to fir kitni bhi kar sakte hai.

Kya facebook page par amazon affiliate ki links dalkar pese kma skte hai or ye legal hai

Ji nahi amazon direct traffic allowed nahi karta, accha ye rahega ke ap apni website ke jaiye amazon par traffic bheje.

Mujhe khud ko lena hai koi product to kya mai apna amazon affiliate link use kar sakta hu

Nahi ap aisa mat kariye, aisa karne par apka account ban ho jayga.


Kya mobile pe hum amazon affiliate marketing kr sakte h

Ji ha ap mobile se bhi amazon affiliate marketing kar sakte hai.

Conclusion

Agar apko ab bhi amazon affiliate marketing se related koi problem hai to comments me bataye.

Hope ke apko hamara ye article Amazon Affiliate Marketing kaise Kare samajh aaya hoga.

To aj hi amazon affiliate marketing start kare or ghar baithe online earning karni start kare.

Or ye post acchi lagi ho to apne Social media platform me share kare or Daily new Post read karne ke liye Hume Facebook, Twitter, Instagram par follow kare.

Leave a Comment