Udemy Kya Hai? Udemy Se Paise Kaise Kamaye

Aj ke time me Online Learning ek new Trend hai, sab koi chahta hai mai kuch naya sikhu or vo bhi bina ghar se bahar jaye. Or agar sikhne ke sath hi Certificate bhi mil jaye to sone pe suhaga ho jaye.

Online Learning with Certification ki baat aay to sabse phle mind me Udemy Ka hi naam aata hai. Aj is post me hum janenge ke Udemy Kya Hai, Udemy se free me courses kaise kare, Udemy se certificate kaise le, or Udemy par kon konse courses available hai or Udemy se paise kaise kamaye.

Dosto aap to jante hi honge ke aaj ke time me certificate kitne jaroori ho gye hai job pane ke liye. Interview me aksar unhi ko preference milti hai jinke pass jyada knowledge or certificates ho. To is post me mai detail me bataunga ke udemy se certification course kaise kare.

Udemy Kya Hai | Udemy क्या है 

Udemy ek aisi Learning Website hai jaha se ghar baithe different courses kar sakte hai vo bhi certification ke sath. Udemy par 100000+ courses or 24+ million students registered hai jo udemy se online learning kar rahe hai.

Udemy par kafi courses apko free me hi mil jange jinse ap basic knowledge le sakte hai. In free courses me bhi apko certificate milta hai. Or kuch courses hai jo Paid hai, jinke liye apko kuch amount pay karni hoti hai.

Agar ap beginner hai to mai apko suggest krunga ke free courses ko hi phle try kare, or basic course complete karne ke baad hi fir ap paid courses ki taraf jaye.

Udemy par apko approx har chij ke course mil jaynge, chahe vo programming language ke course ho ya Cooking, Blogging, Affiliate marketing, ya apko koi foreign language hi ku na seekhni ho.

Udemy par courses ki categories hai, apko jis bhi tarah ke course chaiye apko uski categories me jakar apni pasand ka coruse select karna hoga. Categories se apko course select karne me asani ho jati hai.

Udemy ki sabse acchi baat ye hai ke apko vaha har course ke niche course ki Star rating or Reviews mil jate hai, is star rating or reviews se ap course purchase karne se phle ye jaan sakte hai ke vo course or students ko kaisa laga or un students ne kya reviews diye hai is course ke liye.

Agar Rating, Reviews dekhne ke baad bhi apko koi problem aati hai to darne ki baat kuch nahi hai, kunki Udemy par apko 30 days money back guaranty milti hai. Iska matlab ye hua agar apko course pasand na aay to ap apna paisa vapas bhi le sakte hai.

Udemy Kaise Kaam Karta Hai

Jaisa ke apne ab jaan liya hoga ke Udemy Kya Hai, to ab hum janenge ke Udemy Kaise kaam karta hai. 

To Dosto Udemy ek Online Learning Platform ke sath hi Online Marketplace bhi hai. Jaha content creators apna account bana ke apni knowledge ko Vidoes ke Format me course ke roop me Udemy in hindi par upload karte hai. Agar unka course accha hota hai to vo popular ho jata hai or Bestsellers me chala jata hai jisse course banane vala ko or bhi jyada earning hoti hai.

Udemy Par Account Kaise Banaye

Udemy par 2 tarah ke account bante hai.

  • Ek Students ke liye jinko Udemy se kuch seekhna hota hai.
  • Dusra Teachers ke liye jinko Udemy Instructor kahta hai.

Student Account Kaise Banaye

Udemy par account banana bhot hi easy hai.

  • Iske liye apko sabse phle Udemy ki site par jana hoga.
  • Site par jane ke baad SignUp ka Option milega. Vaha par apni basic details jaise Email, Name, Password daal ke Signup kare.
  • Signup karne ke baad Login kare usi email id or password se.
  • Fir ap Upar Search Bar se ya Categories se apne pasand ka course select kar sakte hai.
  • Course agar free hai to apko koi paise dene ki need nahi hoti, bas apko course ko Buy Now par click karna hota hai fir us course ko ap lifetime use kar paynge.
  • Agar paid course hai to apko vo Buy karna hoga.
  • Udemy par apko courses ke coupons bhi mil jate hai jisse bhot si baar course par 50% off ya kai baar 100% off bhi mil jata hai.

udemy-par-account-kaise-banaye

Instructor Account Kaise Banaye

  • Iske liye apko sabse phle Udemy ki site par jana hoga.
  • Site par jane ke baad Teach On Udemy par click karna hoga.
  • Teach On Udemy par click karne ke baad Become an Instructor ka Option milega. Vaha par apni basic details jaise Email, Name, Password daal ke Signup kare.
  • Signup karne ke baad Login kare usi email id or password se.
  • Fir apka Instructor ka Dashboard open ho jayga or vaha par apko apka course create karne ka Option mil jayga.

udemy-se-paise-kaise-kamaye

Udemy Se Paise Kaise Kamaye | Udemy से पैसे कैसे कमाए 

Jaise ki maine bataya ke Udemy par log hi apne course ko dalte hai. To Agar apko bhi kisi topic ki acchi knowledge hai to ap bhi Videos bana ke course bana sakte hai or free me Udemy par upload kar sakte hai, or usse paise kama sakte hai.

Iske liye apko Udemy ko koi charge pay nhi karna hota hai. Na hi apko kisi hosting ki need hoti or hi Publishing ka koi paisa dena hota.

Course upload karne ke baad jab bhi koi Apke Course ko Purchase karta hai to apko uska paisa milta hai.

Read Also – Top 19 Online Paisa Kamane Ki Website

Udemy Itna Popular Ku Hai

Jab bhi hume koi chij free me milti hai to hum usko bhot jaldi le lete hai, or apne dosto or family members ke sath bhi share karte hai.

Is mentality ko Udemy ne use kara or apne kuch courses free kar diye. Ab free courses ki vajah se log Udemy ko use karne lage or apne friends ke sath bhi share karne lage. Or jab koi chij itni baar share hoti hai to popular to vo ho hi jati hai.

Popular hone ki ek vajah ye bhi hai ke Udemy free course to deta hi hai uske sath vo Certificate bhi provide karta hai. Jisse students ka Job interviews ke time bhot fayda hota hai.

Udemy Par Available Free Courses In Hindi

Udemy par Approx har categories me kuch courses free me available hai. Jinse ap apni Knowledge bhi increase kar sakte hai, kuch naya bhi seekh sakte hai or sath me certificate bhi le sakte hai.

Suppose apko Digital Marketing seekhni hai. To Apko Udemy par Marketing ki categoris me jana hoga or vaha Digital Marketing ko select karna hoga, uske baad Filters me jake Free or Hindi ko select karke apne pasand ka course Choose kar sakte hai.

Udemy ko students sabse jyada Coding languages or Web-Development sikhne ke liye use karte hai.

Udemy-Free-courses-in-hindi

Udemy Par Available Categories

Udemy par apko approx har categories me Course mil jaynge. Paid or Free dono hi.

Ye sab Main categories hai In sabhi ki sub-categories bhi hai.

Conclusion

To Dosto apko ye to pata chal hi gya hoga ke Udemy Kya Hai ( Udemy क्या है )or Udemy Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai (Udemy से पैसे कैसे कमाए). To fir der kis baat ki aaj hi Udemy par Signup kare or Dher sari knowledge gain karni start kare.

Hope ke apko ye article pasand aaya hoga, pasand aaya ho to apne Friends ke sath bhi is article ko Facebook, Whatsapp ke through share kare. Or apne dosto ki bhi knowledge gain karne me help kare.

2 thoughts on “Udemy Kya Hai? Udemy Se Paise Kaise Kamaye”

Leave a Comment