WhatsApp Pay क्या है | WhatsApp Pay Kya Hai

Whatsapp pay kya hai?


Aj ki digital duniya me shayad hi aisa koi hoga jo Whatsapp ke bare na janta ho ya Whatsapp ko use na karta ho. Whatsapp ab har insaan ki jaroorat ban gya hai chahe apne family members se baat karne ke liye ho, ya apne friends se Gup Shup marne ke liye ho. Ab whatapp se ek kaam or bhi hoga or vo hai paise transfer karne ka. To chaliye jante hai whatsapp pay kya hai.

Duniya me 2 billion log Whatsapp use karte hai, jisme se akele India me 340 million log Whatsapp ko use karte hai. Bharat ek bahut bada market hai Whatsapp ke liye users ke hisab se. Or isi liye haal hi me Whatsapp ne Ek naya feature nikala hai jiska naam hai Whatsapp Pay. Is article me hum janenge ke Whatsapp pay kya hai, Whatsapp pay se payment kaise karte hai, Whatsapp pay india me kab launch ho raha hai or Whatsapp pay se paise kaise transfer kare.

Whatsapp Pay Kya Hai | What Is Whatsapp Pay In Hindi

Whatsapp-pay-kya-hai

Abi tak hum log WhatsApp ko bas instant messaging service ki tarah hi use kar rahe the, par ab hum WhatsApp se Baki UPI money transfer apps Jaise PhonePe, Paytm, Google Pay ki tarah paise bhi transfer kar paynge. Or vo bhi bina kisi extra paise kharch kare hue. WhatsApp ab bas sirf message, photo hi send nahi karega balki paise bhi transfer karega. is article me detail me read kare Whatsapp pay kya hai.

Whatsapp ke Co-Founder or CEO MR. Mark Zuckerberg ne 16 December 2020 ko Mr. Mukesh Ambani ke sath ek Chat me bataya ke India ke 4 bade banks Jaise State Bank of India, ICICI Bank, HDFC Bank, or Axis Bank ke sath Whatsapp ne tie up kara hai apni payment service start karne ke liye.

2018 se company Whatsapp ki payment services ko test kar rahi thi jo ki ab jake finally launch hone vali hai.

WhatsApp Pay Kaise Work Karta Hai

Whatsapp pay UPI(Unified Payments Interface) se chalega or isi se transaction karega. UPI NCPI(National Payments Corporation of India) ke dwara manayta prapt hai jo puri tarah se secure hai. Or Whatsapp pay bhi isi ko use karega apni services ko provide karne ke liye. Aage hum janenge ke WhatsApp pay क्या है or Whatsapp pay से पैसे कैसे ट्रांसफर करे.

UPI Kya Hai

Ajakl jitni bhi online paise transfer karne ki apps chal rahi hai vo sab UPI ki help se hi paise transfer karti hai.

UPI ki full Unified Payments Interface hai. UPI ki help se ap apne bank account se kisi ke bhi bank account me paise transfer kar sakte hai vo bhi bina kisi extra kharche ke.

Jab bhi ap kisi app par register karte hai to apko ek UPI id milti hai jiski help se ap kisi or se us ID par paise receive bhi kar sakte hai or send bhi kar sakte hai.

Ajkal UPI ki help se ap Movie ticket, Train, BUS ticket, market se saman purchase karna, ya Petrol fill karvana kuch bhi kar sakte hai.

 

Also read – Top 7 Secret Tips Instagram Se Paise Kaise Kamaye

WhatsApp Pay Par UPI Id Kaise Banaye

Jaisa ki apne jaan liya ke Whatsapp pay kya hai. Ab hum baat karenge whatsapp pay par UPI Id Kaise Banaye.

  • Sabse pahle hume ye dekhna hoga ke humare whatsapp me Payment ka option hai ya nahi. Agar hai tabhi hum Whatsapp pay ka use kar paynge.
  • Sabse phle whatsapp ko open kare or upar Right hand side par 3 dots pa click kare.
  • Ab Settings ko open kare, yaha apko payment ka option show hoga. Ispar click kare.
  • Ab yaha sabse phle apko apna Mobile no. dalna hoga, dhyan rahe number vahi dale jo apke bank account se link ho or us number ka sim apke usi phone me hona chaiye jisme ap whatsapp chala rahe hai.
  • Number dalne ke baad OTP aayaga or OTP dalne ke baad apka number verify ho jayga.
  • Ab apko apna bank account select karna hoga, jis bank me bhi apka account hai usko select kare.
  • Bank ko select karne ke baad UPI pin dalne ko bolega, yaha ap UPI pin dale. Dhyan rahe PIN vahi dale jo yaad rahe apko.
  • PIN dalne ke baad apki whatsapp pay par UPI ID ban jaygi.

 

Also Read – 11+ Proven Ways India Mein Online Paise Kaise Kamaye

WhatsApp Pay Se Paise Kaise Transfer Kare

  • Whatsapp se payment karna bahut hi simple hai. Sabse phle apko ye dekhna hoga ke jis person ko apko paise transfer karne hai usne whatsapp pay par account create kar rakha hai ya nahi. Agar kar rakha hai to apka kaam easy ho jayga.
  • Whatsapp pay se paise transfer karne ke liye sabse phle apko jis person ko paise transfer karne hai uski chat open karni hogi.
  • Fir attachment par jay, yaha apko Payment ka option show hoga. Fir apko jitne paise transfer karne hai vo paise fill kare, fir apse apka UPI pin mangega. PIN dalne ke baad paise send ho jaynge.
  • Ab apke dwara send kiya gya amount sidhe samne vale ke bank account me chala jayga.

Frequently Asked Questions Of Whatsapp Pay

How does WhatsApp pay work?
Whatsapp pay work by UPI. 

How do I activate Whatsapp pay?
Currently, it’s in the beta version, so some users are using it now. Soon it’ll be available to everyone.

How can I download Whatsapp pay?
If you’re using the WhatsApp app then you just need to update your app. Or if you’re not using then you can download it from Playstore or Appstore.

Is Whatsapp pay available in India?
Currently not, But soon it’ll be available in India as the company CEO hints in the recent interview. It’ll be launched in 2021.

Conclusion

To dosto is article me maine share kara hai ke WhatsApp pay kya hai, or WhatsApp pay se payment kaise kare, or WhatsApp pay india me kab launch ho raha hai.

Agar dekha jaye to Whatsapp pay india me launch hone ke dhoom macha dega, kunki maximum log whatsapp to phle se hi use karte hai, or whatsapp apni simple user interface ke liye phle se hi mashoor hai. To jab whatsapp pay launch hoga to vo log bhi iska use karenge jo aajtak kisi payment app ka use nahi karte hai.

Agar apko ye article accha laga ho to apne friends or family ke sath social media par share kare.

Spread the love

2 thoughts on “WhatsApp Pay क्या है | WhatsApp Pay Kya Hai”

  1. Pingback: prashant

Leave a Comment