Top 19 Online Paisa Kamane Ki Website

Aaj kal kitne hi log Ghar Baithe Internet Se Online Paise kama rahe hai. India Me Internet Se Online Paise Kaise kamaye (Online पैसे कैसे कमाए)  ye koi mushkil kaam nahi hai. Bas apko koi ek tarika choose karna hoga jisse ap Ghar baithe online earning kar sakte hai or paise kama sakte hai. 

Mai bhi Blogger, Affiliate Marketer or Website Designer hu. Or ghar baithe apne Laptop Se Online Earning Karta Hu. 

Is Post me Online Paisa Kamane ki Website or Online Paise Kamane Ka Tarika kya hota hai iske bare me detail me bataunga jiski help se ap janenge ke Bina Invetment Ke Paise Kaise Kamaye ja sakte hai.

Online Paise Kamane Ke Fayde

  • Ap Ghar Baithe paise kama sakte hai.
  • Ap apne Khud Boss hote hai
  • Apko Lambe Traffic jam me fass ke, Pollution me Office nahi jana padega.
  • Ap apne hisab se jis time chahe kaam kar sakte hai. Din me mann na kare to raat me bhi kar sakte hai.
  • Ap apni family ko jyada time de sakte hai.
  • Apko apki mahnat ke hisab se paise milenge.
  • Apko Kisi ka work pressure lene ki need nahi hogi.
  • Apka paisa apke account me aayga.

Online Paisa Kamane Ki Website | Online पैसा कमाने की वेबसाइट

Freelancing

Freelancing Kya Hota Hai – Agar apke pass koi skill hai Jaise Website Designing, Content Writing, Graphic Designing, SEO, Logo Making to ap freelancing ki websites par register hokar vaha se projects le sakte hai or ghar baithe bina kisi investment ke paise kama sakte hai. Bas apke pass Laptop ya Computer hona chaiye. 

Freelancing ki kuch websites

In sabhi websites par maine kaam kara hai or sabhi websites 100% secure hai, payment apke account me aaygi. 

In websites par register karne ke baad apko apni profile banani hogi, jiski bhi apko knowledge ya interset hai. Fir apko jis bhi chij ka project mila hai usko complete karke website par upload karne hoga. Jisne apko project diya hai vo check karne ke baad apki payment de dega or website apna comission cut karke apka paisa apke account me daal dega.

 Content Marketing websites

Content marketing aaj ke time kuch sabse acchi freelancing me gina jata hai, kyunki content marketing ke aaj ke time me sab sagah need padti hai, chahe vo website ke content ki need ho ya kisi advertisment ya kisi lawyer firm me. Har jagah ek acche content ki need hoti hai.

To Agar apko likhe ka shok hai or apko likhne ke sath hi likh ke paise bhi kamana chahte hai to ap in websites par register karke content likhne ke projects le sakte hai.

Photos Selling Websites

Kuch logo ko photography ka bahut shock hota hai or unko jaha moka milta hai vahi photo click karne lag jate hai, chahe vo Camera se photo le ya phir Mobile se khi ku ni. 

Or jabse market me 4-5 camera vale or 64 -108mp vale phones market me aay hai tabse to photo click kanra or bhi easy ho gya hai. Kunki ab logo ko acche photo lene ke liye mahnge cameras ki need nahi rahi, unke liye pones hi kafi hai.

Par kya ap jante photos obline sell bhi hoti hai or ap Online Photos sell karke paise bhi kama sakte hai. Bas apko in websites par register karna hoga or apne High Quality photos upload karne honge. Or bas fir apki online earning start hone lagegi.

Clixsense

Clixsense ek bahut hi acchi or popular online Paisa Kamane Ki Website hai. Ispar apko ek bhi paisa kharch kare bina online earning start ho jaygi. 

Is par earning start karne ke liye apko phle signup karna hoga or fir Yaha apko kuch tasks complete karne honge jaise Surveys complete karna, Apps download karni, Adds par click karna. Ye company apko roj adds or surveys send karegi bas apko vo vo surveys complete karne honge ya adds par click karna hoga, or inhi se apko paise milne start ho jaynge.

ClixSense Review

Online Tution Padha Ke

Agar apko tution padhane ka shok hai or ap chahte hai online tution padhana to ye kuch websites hai jin par ap online tution padha ke ek acchi khasi earning start kar sakte hai. Online tution industry aaj bhot jyada popular ho gyi hai jabse Jio aya hai or sabke pass Internet easily available ho gya hai.

Ab log chahte hai ke baccho ka tution aane jane me time waste na ho kar online hi tution pad le, jisse unka time bache.

In websites par ap differnet subjects ke sath Different Languages ki bhi Online classes de sakte hai. Or ek mahine me 50-60000 easily kama sakte hai.

Make Money By Making Videos

YouTube

Online Paisa Kamane Ki Website ki baat ho or YouTube ka naam na aay aisa ho hi nahi sakta. Mobile Se Paise Kamane ke mamle me YouTube one of the best site hai. 

Youtube ke bare me aj kon nahi janta, aaj sab loh roj ghanto youtube par videos dekhte hai.

Par Kya ap jante hai Online videos upload karke bhi paise kama sakte hai. Agar ap videos bana ke internet se paisa kamana chahte hai to uske liye sabse acchi website Youtube hai.

Youtube par apko apna Channel Create karna hoga. Or bas apko videos upload karni hongi. Yaha par ap differnet type ke channels create kar sakte hai Jaise education-related, funny videos, pranks, cooking, traveling, mobile, gaming, car & bikes, ya jis bhi chij me apko maja aata ho.

Youtube par earning karne ka ek criteria hai, jab ap us criteria ko pura karte hai tb apki youtube se online earing honi start ho jati hai.

Google AdSense Se Paise Kamaye

Google Adsense

Google AdSense Online Paisa kamane ki websites me se ek sabse acche tariko me se ek hai. Internet par available lagbhab 70% website me AdSense se hi adds chal rahe hai.

AdSense google ki hi ek service hai jiski madat se ap apni website par adds chala sakte hai or Online earning kar sakte hai. Iske liye apko bas ek website ki need hoti hai. Ya fir Ap Blog bhi bana sakte hai. Ap Blogging karke bhi gahr baithe paise kama sakte hai.

Read More –
Blogging kya hai

Blogging Se Paise Kaise Kamaye

Google Adsense Account Kaise Banaye

Online E-Commerce Website Bana Ke

Shopify ya WordPress par ap khud ki apni E-Commerce website bana or inpe online products ko sell kar ke paise kama sakte hai. Shopify jaha paid platfrom hai vahi wordpress ek free platform hai. Bas apko iske liye domainn or hosting lene ki need hogi. Fir wordpress me Woocommerce install karke apna khud ka ecommerce store bana sakte hai.

Amazon Se Online Earing

Apne online Amazon se kabi na kabhi to kuch purchase kara hi hoga or amazon ke bare me bhi ap jroor jante honge.

Amazon aaj online shopping karne ki duniya ki sabse badi website hai. Par kya ap ye jante hai ke amazon se paise kaise kamaye jate hai.

Ji ha ap amazon se bhi paisa kama sakte hai. Amazon se paise kamane ke 2 tarike hote hai –

  • Amazon Affiliate marketing – Amazon affiliate marketing me ap amazon ke products ke upar website banate ha jaha par ap products ke bare me usefull information ya Products ke Revies share kar sakte hai. or sath me apna Amazon Affiliate Link Bhi laga sakte hai. Fir jab bhi koi apke link se kuch purchase karega to apko uska commission milega sidhe apke account me.

Read More – Amazon Affiliate Marketing Kaise Kare

  • Amazon Seller Account – Kya ap jante hai ap amazon par saman sell karke bhi paise kama sakte hai. Amazon par sell karne ke liye apko bas amazon par seller account banana hoga or apko jo bhi products acche lage vo ap amazon par sell kar sakte hai. 

Flipkart Se Online Earing

Flipkart India ki apni or bahut Popular website hai. Jaise ap amazon par Affiliate Marketing Or Products sell kar sakte hai. Thik usi tarah Flipkartpar bhi ap dono kaam same tariko se kar sakte hai.

Facebook Instant Articles

Facebook to ap roj chalte hi honge, or apne dosto ki photo videos dekhte honge, unke status read karte honge, or apne dosto se ghanto chat bhi karte honge. Par kya apko pata hai Facebook se paise kaise kamaye jate hai.

Ji mai sahi kahra hu ap facebook se paise bhi kama sakte hai. Facebook ne Instant Articles ke naam se ek service start kari hai jis par adds ki help se paise kama sakte hai.

Facebook Instant Article

  • Facebook instant article join krne ke liye apke pass ek facebook page hona jroori hai.
  • Page ke sath apke pass ek website bhi honi chaiye.
  • Facebook instant artcile ke sath apko apni website or page ko connect karna hai.
  • Apko apni site par article daal ke unko facebook page par share karna hoga.
  • Jitne jyada log apke page ke article ko read karenge utne hi jyada apko paise milenge.
  • 100$ pure hone par facebook apko paise account me de deta hai.

To dosto is article ke madhyam se maine apko kuch Online Paisa Kamane Ki Website ke bare me bataya hai. Hope ke ab apko online earing start karne me koi problem nahi hogi. Or apko kuch online paise kamane ke tarike bhi mil gye honge.

Agar apko bataye gye kisi bhi tarike ya website ke bare me kuch bhi janna ho to comments me bataye.

Ya agar ap koi or accha tarika bhi jante hai to usko bhi ap hamare sath share kar sakte hai.

Hope ke apko article pasand aya hoga, Agar pasand aya ho to apne dosto ke sath Facebook par jaroor share kare jisse unki bhi Ghar baithe online earning start ho sake. Or unko bhi Online Paisa Kamane Ki Website ke bare me pata chale.

Leave a Comment