Best Tips Blogging Se Paise Kaise Kamaye

Aaj ke time me Internet se Paise Kamne ka sabse accha tarika hai Blogging. Lakho log aaj Blogging se ghar baithe paise kama rahe hai. Agar ap bhi un lakho logo ki tarah Blogging se paise kaise kamaye jate hai. Ye janna chate hai to is Article ko pura read kare. Mai Blogging se paise kamane ki puri jankari dene ki koshish krunga. Is post ko read karne ke baad ap bhi apna blog start karke Online paise kaise kamaye ja sakte hai ye jaan lenge.

Chaliye Start Karte Hai.

Sabse Phle Jante Hai

Blog Kya Hai | What Is Blog

Internet par hum jab bhi koi jankari search karte hai to google ke result me jo websites aati hai vo sabhi ek tarah ki blog websites hoti hai.

Hamari ye websites bhi blog website hi hai. In sabhi Blog websites ko jo chalate hai ya inpe content likhte hai unko Bloggers kahte hai.

Blogger Kon Hote Hai | Who Is Blogger

Blogger vo hote hai jo blogs likhta hai ya apni website par articles post karta hai. Example ke liye mujhe hi dekh lijiye. Mai ek blogger hu jo is website par blogs likhta hu.

Blogger banne ki liye sabse acchi baat ye hai ke isme apko koi bhi coding ki knowledge ki need nahi hoti. Bas apko computer ki basic knowledge honi chaiye. Google par search kaise karte hai ye pata hona chaiye. Internet connection hona bhot jaroori hai. Par jabse JIO aya hai tabse sabhi ke internet connection ho gya hai.

Ab Mann Me Ek Or Sawal Ata Hai ke.

Blogging  Kya Hai | What Is Blogging

Maan lijiye apki ek blog website hai or ap uspar roj blog likhte hai to iska matlab ye hua ke ap uspe Blogging Karte hai.

Also Read – Blogging kya hai or blogging Kaise Kari Jaati Hai.

Blog Likhne Ke Fayde

Blog likhne ke bhot sare fayde hai. Ek to ap apni knowledge dusro ke sath sahre kar sakte hai. or sath hi Blogging se earn bhi kar sakte hai.

Blogging Se Kitna Paise Milta Hai

Blogging se hume utna milega jtna ap apne blog par mahnat karenge or accha content likhenge. Blogging se earn karne ke bhot sare tarike hai jo hum isi artcile me aage padhenge.

Ap chahe to Blogger ya worpress par free blog bana kar bhi earning start kar sakte hai. Isse apki ye tension bhi door ho jaygi ke Free blog se paise kaise kamaye hum. Kunki ye do platform free me blogging karne ke liye hi hai especially.

Par agar ap blogging nahi jante or ap Practical Digital Marketing Skills seekhna chahte hain, jiski madad se aap complete digital marketing or blogging ghar baithe seekh sakte hain or saath hi paise bhi kama sakte hain. to is post ko pura padhe.

लेकिन अगर आप ब्लॉगिंग नहीं जानते हैं तो आपको प्रैक्टिकल डिजिटल मार्केटिंग स्किल्स सीखनी होगी, जिसकी मदद से आप पूरी स्किल्स सीखेंगे और घर बैठे पैसे कमा सकते हैं।

Ab Hum Apne Main Topic Par Ate Hai

Blogging Se Paise Kaise Kamaye (Blogging से पैसे कैसे कमाए)

Adsense

Apne aksar logo ko suna hoga ke hum ADD se paise kamate hai, Click se paise kamate hai. Ji ha to vo add or click AdSense hi hota hai jisse log paise kamate hai.

AdSense Google ka hi programe hai jisko ap apne blog par laga kar pay per ckick se paise kama sakte hai,

Apne kafi websites par adds ko aate dekha hoga to vo sabhi adds google adsense se hi aate hai.

AdSense Blogging me kamai karne ka sabse aach aor easy tarika hai. Isme sabse acchi baaat ye hoti hai ke apko apne blog ke content ke according adds dundne ki jroorat nhi hoti, kunki Google khud hi adds chalata hai apke blog par apke content ke according.

Also Read – Google Adsense Account Kaise Banaye

Affiliate Marketing 

Blogging se paise kamne ka dusra sabse acha tarika hai Affiliate Marketing. Ab hum jante hai Affliate marketing se paise kaise kamaye.

Bahut sari aisi websites hai jo affiliate marketing ke products provide karti hai. Jinke links ko ap apni website me laga sakte hai. Jab koi user un links par click karke koi saman purchase karta hai to Affiliate website apko Commission deti hai.

Affiliate marketing me products 2 tarah ke hote hai.

  • Physical Product – Ye products amazon, flipkart jaise websites provide karti hai.
  • Virtual Products – ShareASale, JVJoo jaisi websites Provide karti hai. Inme mostly Software hote hai.

Sponsorship

Ye ek aisa tarika hai jisme apko kuch nahi karna hota. Agar apka blog popular hai or blog par accha traffic hai to Sponsors apko khud contact kaenge or apko ek add ke liye minimum 50$ tak de sakte hai.

Bas apko un adds ko apne blog par lagana hoga. Ek acche blog ko mahine me 10-15 sponsores aram se mil jate hai.

E-Book 

Apni Site par ek Paid E-Book likh kar Upload kar den or fir apki aadhi tension khatam ho jaygi Blogging se paise kaise kamaye iski. Kunki E-book se hi apko kafi acchi earning Hone Lagegi.

Ye ek naya tarika hai blog se paise kamane ka. Ajkal log E-books padhna kafi pasand karte hai. Kunki E-book ko hum Download karke kabhi bhi or kahi bhi read kar sakte hai.

Ap bhi E-book likh kar apne Blog ke users ko Purchase karne ko de sakte hai.

E-Book likhne ke liye aj internet par Bahut sari websites hai, jinki help se ap aram se E-book likh sakte hai.

Online course

Ajkal bahut sare Bloggers ne apne Online Course oaunch kar rakhe hai. Jaise Digital Marketing ke upar, Coding, Website design, SEO or Education related

Agar apko bhi koi topic bahit acche se aata hai to ap bhi kisi topic ke upar course bana kar online sell kar sakte hai.

Freelancing

Agar ap bina kisi invetment ke jaldi paise kamana chate hai to ap bhi Freelancing try kar sakte hai.

Isme ap kisi dusre ke liye content likh sakte hai, SEO kar sakte hai, Ya Website bana ke paise kama sakte hai.

Internet par bahut sari aisi website hai jo Freelancing work provide karti hai.

Example – Upwork, Fiverr.

Agar apke pass accha traffic hai or apke pass lisi Niche related target Audience hai to ap Paid Reviews se bhi paisa kama sakte hai. Isme ap kisi product ka review karke product company e previews ke paise le sakte hai.

Premium Membership

Jaisa ki Hum sabhi jante hai ke New Bloggers ko Blog Start karne me ya usse paise kamane me kafi problems aati hai to hum un new bloggers ki dikkato ko solve karne ke liye ek Premium membership Programe start kar sakte hai.

Jisme hum koi small charges le sakte hai. Is Program se hum new bloggers ki problem solve bhi kar sakte hai or apna permanent source of income bhi bana sakte hai.

Conclusion

Hope Ke apko ye samaj aa gya hoga ke blogging se paise kaise kamaye jate hai. Agar apko abhi bhi koi Doubt ya Problem hai to ap mujhe comment karke jroor bataye. Mai apki har problem ko solve karne k puri help krunga. AdSense, affiliate marketing ya blogging se judi koi bhi help ke liye ap hamare or blogs bhi read kar sakte hai. Comment section me jroor bataye ki apko ye blog kaisa laga.

Leave a Comment