Blogging kya hai | Full Detail In Hindi

Blogging kya hai | Blogging क्या है 

Hello doston agar aap is post ko padh rahe hain iska matlab Ye Hai Ki aap Janna Chahte Hain Blogging kya hai or blogging Kaise Kari Jaati Hai.

Main post me blogging ke bare mein Sab Kuch bataunga Jaise blogging kya hai, blogging kaise karte hain, blog kaise banaye or blogging me carrier Kaise banaye.

Phle to main Aapse yah Kahana Chahunga ki apane blogging sikhne ka mann bana liya hai to apane apni Jindagi Ka sabse Accha Faisla liya hai. Kyunki  blogging ek aisa career hai jisme Na Koi resession hai aur na hi blogging Kabhi opusulete hogi. Aur isme kamai ki koi limit nahin hai.

Blogging me Aap apni mahnat ke according kama sakte Hain, ap Jitni Jyada mehnat Karoge utni hi Jyada aapko income Hogi.

Blogging ka Ek Aur fayda hai ismein aapko Naam, Shohrat or paisa sab ek sath milta hai Log aapko Jaane Lagte Hain aapki Ijjat Karte Hain. Log aapse sikhana Chahte Hain aur log aap ki tarah Banna Chahte Hain.

Sabse Phle Jante Hain Blogging kya hai in Hindi

Blogging ek aisa platform hai jiske Madhyam se Ham Apni knowledge ko dusro ke sath share kar sakte hain, Apne blog ke dwara. Blogging Ke liye Hume Ek website ki jarurat hoti hai jismein ham log blog post kar ke blogging shuru kar sakte hai.

Agar apko likhne ka shok hai ya apni knowledge share karne ka shok hai to ap blog banakar blogging kar sakte hai or sath hi blogging se paise bhi kama sakte hai. Or agar apko likhne me problem ati hai to aj ke time me ap bolkar bhi apna content likh sakte hai.

Kya Blog Se Paise Kamaye Ja Sakte Hai?

Ji ha hum blog se paise bhi kama sakte hai or bhot acchi income kar sakte hai. Aj k time me ek blogger normal person se jyada ghar baithe kamata hai..ye un logo ke liye hai jo ghar baithe kaam karna chate hai or apni family ko time dena chate hai.

Blogging se paise kamane ke bhot sare tarike hai jaise adsense, affiliate marketing,E-book, or Selling online courses.

Ab ap sochre honge kya blogging strat karne ke liye koi investment ki jarurt hai? To mai apko batana chahunga blogging do tarah se hoti h, ek ap free me start kar sakte hai or ek ap thori si investment karke start kar sakte hai.

Aage post me m apko bataunga blogging kaise start karte hai free me bhi or investment karke bhi. To Chaliye jante Blogging Kaise start kar sakte hai.

Blogging Kaise Shuru Kare

Blogging shuru karne ke liye apko sabse pahle ye sochna padega ki ap kis topic pe blog likhna chate hai.

Blogging ki duniya me hum isko niche kahte hai.. To sabse pahle apko ek niche find karni hogi.

Niche Kya Hoti Hai or Niche Kaise Dhoonde

Niche kisi se bhi related ho sakti hai. Jisme bhi apka interest ho, Jaise agar apka interest cricket me hai to ap cricket ke upar blog bana sakte hai ya agar apka interest food me hai to ap Food blog bana sakte hai. Yaha par ap new new recipes ke bare me likh sakte hai ya fir apko Education ke upar blog banana hai to ap Education ke kisi bhi topic par blog bana  sakte hai.

Bas aj ke time me humko ek baat dhyan me rakhni hogi ki humko kisi ek Niche par Blog banana hoga jisse hume ranking me fayda mile, Competition bhi kam rahe or humari website google ki ranking me upar aay.

Ab apko Blogging ke liye ek Platform Choose karna hoga. Ab ye Platform free ho ya Paid ho. Ye apke upar hai. Jaise Blogger ya WordPress.

Read Also – Blog Niche kya hoti hai

Read Also – Blog Kis Topic Par Banaye

Read Also – 106+ Profitable Micro Niche Blog Ideas In Hindi

Blogging Ke Liye Platfrom Kaise Choose Kare

Ab baat karte hai free patfrom ki. Free ke platfrom me sabse upar naam Blogspot(Blogger) ka ata hai. Ye Google ka hi apna product hai jaha ap free me blog website create kar sakte hai. Isme apko na hi Hosting lene ki need hoti hai or na hi domain lene ki. Ap chahe to apna custom domain name bhi le sakte hai.

Custom or Free Domain Name Me Kya Difference Hota Hai

Custom domain ko hum kisi domain registrar company jaise Godaddy ya Hostinger se purchase karte hai. Custom Domain ke example like www.facbook.com, Www.youtube.com, www.xtremehindi.in

Vahi Free Domain ko hum Blogger ya WordPress ke sath bana sakte hai. Par jab hum in websites se apni blog site banate hai or apna domain choose karte hai to hamare domain ke last me blogspot.com ya wordpress.com likha ata hai.

Free domain ke liye example like like www.xtremehindi.blogspot.com, www.xtremehindi .wordpress.com

Agar ap ek professional blogger banna chahte hai or professional blogging karna chahte hai to meri salah ye hogi ke ap ek Hosting Purchase kare or ek custom domain name kharide.  Or wordpress.org par website create kare. Aj ke time me har Hosting company Easy WordPress installation deti hai. One Click me ap WordPress install kar sakte hai or apna blog start kar sakte hai.

Mai hosting domain purchase karke blog start karne ki salah is liye deta hu because free platforms like Blogger or WordPress.com me bahut sari limitations hai. Vaha ap vo sab nhi kar sakte jo ap karna chahte hai.

Agar apne Platfrom choose kar liya hai or Domain bhi le liya hai to iske baad hume blog ko design karna hota.

Apne Blog Ko Design Kaise Kare

Mai apse yhi khunga ke ap apne blog ko jitna ho sake utna simple rakhne ki koshish kare. Jisse users ko read karne me bhi maja aay or apki website load bhi jaldi ho. Because website loading time ek bahut bada factor hai google me site rank hone ka.

Apna Phla Post Kaise Likhe

Post likhne se phle apne post ki ek outline taiyaar kare ke apko apne post me kya kya likhna hai. Headings or Target Keywords ka mian khyal rakhe. Apne Topic se Bhatke nahi. Apni language ko simple rakhe jo users ko asani se samajh bhi aaye or unko padhne me bhi maja aaye.

Article likhne k baad apne article ko website me post kre. Or apne post ko logo tak pahuchane k lye social media ka sahara le or facebook , instagram, twitter par account bana kar post ko share kare.

Hame apne post ko google me pahuchane k lye phle apni website ko google search console me add krna hota h. Jisse agar user kuch google par search kare to hamari bhi website google me show kare. Isi ke baad hum apni website me adsense bhi laga skte h.

Ab hum ye janenge ki google ke sath connect karke paise kaise kamaye ?

Blog Ko Google ke Sath Kaise Connect Kare

Apne blog ko google ke sath connect krne k lye google search console me apne blog ko connect karna hai.. Jiske lye ap niche di hui post ko pade.

  • Blog ko search console me kaise submit kare
  • Site map kya h or sitemap ko search console me kaise submit kare
  • Google analytics account ko blog k sath kaise jode

Ye teeno hi post bht important h.. Ap inko jarur pade..

Blog Se Paise Kaise Kamaye?

Blog se paise kaise kamaye iske liye phle apko google adsense par ek account create krna hoga or uske baad blog ko adsense se connect krna hai. Jab apka adsense account approve ho jaega tab apke blog par earning honi shuru ho jaegi.

Adsense ki puri jankari

  1. Google adsense account kaise banaye?
  2. Adsense approve karane ka sabse acha tarika.

Blogging se paise kaise kamaye..iske upr maine ek pura article likha hai ap usko padh skte hai usme kuch prooven tarike hai jisse ap jaldi or easily paise kama skte hai.

Blogging Se Judi Kuch Cheje Sikhe or PRO Blogger Bane 

Agar ap blogging ki duniya me kuch bada karna chate hai to apko bahut kuch seekhna hoga or aage bhi seekhte rahna hoga.

Kuch cheje mai apko batata hu jo apko seekhni chye.

SEO- search engine optimization apki website ko google me rank karne me bahut kaam ata h.

Keywords kya hote hai, longtail or short keywords me kya fark h?

LSI keywords kya hote hai? LSI keywords ki full form – latent semantic indexing 

Backlinks kya hote hai or kaise banaye jate hai?

On -page Seo , Off -page Seo kya hota hai?

Social media marketing kaise karte hai?

In sabhi cheejo ko seekhkar ap bhi ek ache blogger ban sakte hai.

Conclusion

Is Post me maine Blogging se judi kafi chije share kari hai, Jaise Blogging Kya hai (Blogging क्या है) or Blogging kaise karte hai.

Agar apko post acha laga ho to ise apne facebook profile me share kare. Or is post ke bare me comment me jarur bataye. Agar apko koi bhi doubt hai to comment section me bataye.

Leave a Comment