7 Best WMS Everywhere Alternatives

Keyword research ek sabse jroori part hai blogging me, Bina keyword research kare ap kitna bhi accha article ku na likh le, vo na hi Rank karega or na hi us par Traffic aayga.

Isi liye koi bhi article likhne se phle hume acche se keyword research karna chaiye jisse hume pata chale ke aakhir kisi Keyword par Kitna Volume hai, Difficulty kya hai keyword ki, or CPC kitna hai keyword par. Ye teeno hi chij bahut important hai kisi bhi keyword ke liye. WMS Everywhere ek bhaut hi acchi chrome extention hai keyword research ke liye par ye ab paid ho gya hai isi liye maine is aricle me WMS Everywhere alternatives bataye hai. 

Bahut sare aise New bloggers hai jo Paid Tools use nahi karte keyword research karne ke liye. Jyada tar bloggers Keyword research karne ke liye Free Tools ya Extensions Use karte hai. Or un Free Tools ya Extensions me ek naam sabhi ko pata hoga or sabhi use bhi karte honge or vo hai WMS Everywhere Alternatives share kare hai.

Par abhi haal hi me WMS Everywhere free extension se Paid Extension ho gyi hai. Jiski wajah se kafi bloggers WMS Everywhere ka Alternative search kar rahe hai. To is article me mai WMS Everywhere Alternatives ke bare me bataunga jinki help se ap keyword research kar sakte hai.

Keyword Research Kya Hai

Keyword research vo techinque hai jiski help se hum kisi bhi keyword par blog ya article likhne se phle ye dekhte hai ke us keyword ki potential kya hai. Agar hum kisi keyword par blog likhenge to kya vo rank karega, ya hume usse accha traffic milega.

Agar traffic milega tabhi hum us keyword se paise kama sakte hai hai. Chahe fir hum Google adsense se paise kamaye ya fir Affiliate marketing se paise kamaye. Dono hi chijo se paise kamane ke liye hamre keyword par traffic hona bhi jroori hai or us par difficulty bhi kam honi chaiye jisse hum us keyword par aram se rank kar paye.

Keyword Research Kaise Kare

Keyword research karne ke liye sabse phle kisi Topic ke bare me sochna hota hai. Or fir us topic me se hum koi aisa keyword find karte hai jo hamare liye beneficial ho.

Suppose Hamara Topic hai Udemy. To hum kisi Keyword search karne vale tool par search karenge Udemy. Fir vo tool hume us keyword se related keywords show karega or sath me us keyword ki volume or difficulty bhi show karega, thik usi tarah keyword research ko hum google se bhi kar sakte hai, iske liye hume Google Chrome browser par extnsion ka use karna hota. Extension ko enable kar ke hum google par kuch bhi keyword search karte hai to Google par hume us keyword ki volume or difficulty bhi show ho jati hai.

WMS Everywhere Extension

Agar hume keyword research karni hai or vo bi free me google ki help se to WMS Everywhere extension ek bahut hi acchi extension hai keyword research karne ke liye. Mai or kafi sare boggers is extension ka use karte hai keyword research karne ke liye. Par abhi ye extension paid ho gyi hai to WMS Everywhere alternative ki need ho gyi hai, kunki sab paid tools afford nahi kar sakte hai.

WMS Everywhere Alternatives

WMS Everywhere ke alternatives ki baat kare to kuch kafi acche WMS Everywhere ke alternatives hai jinko ap try kar sakte hai.

Aise hi kuch alternatives mai share karta hu.

Ubersuggest

Ubersuggest jane maane world ke one of the sabse bade blogger Neil Patel ka tool hai, ye free bhi hai or paid bhi. Matlab freemium tool hai. Or iski ek extension bhi hai.

Apko bas chrome browser me jake, Left hand side par Apps ke option par jana hai. Apps par click karke Webstore ka option aayga. Vaha left hand side par search box me Ubersuggest type karna hai, fir Ubersuggest extention open ho jaygi or fir apko add to chrome karna hoga. Fir apki extention apke browser me add ho jati hai. Fir ap jb bhi kuch Google par search karenge apko us keyword ki volume or difficulty side me show ho jaygi.

Keywords Everywhere

Ye bhi ek bahut acchi extension hai keyword research karne ke liye. Isme bhi apko keyword ki volume, difficulty, or CPC show ho jati hai. Is extention me apko kuch free credits milte hai jinki help se ap keyword research kar sakte hai. Jb ye credits khatam ho jate hai tab ya to ap new credits purchase kar le ya fir kisi or id se is Keywords Everywhere extention me signup kar le.

Keyword Surfer

Baki 2 Extention ki tarah ye bhi kafi acchi extention hai keyword research karne ke liye. Isko bhi apko chrome browser ke app store me jake install karne hoga. Keyword Surfer help se bhi ap keyword research kar sakte hai. English keywords ke liye ye kafi acchi extention hai par hindi keywords ke liye ye jyada acchi nahi hai.

Read More – Blog Niche Kya Hoti Hai

Keywords Nowhere

Agar ap USA/UK ke keywords par blogging karte hai to apke liye ye extention bahut acchi hai. Kunki ye kafi accurate hai. Keywords Nowhere ki help se ap USA/Uk ke keywords ki volume or CPC check kar sakte hai. Inhone apni Info me saaf likha hua hai ke inka future me bhi is extention ko paid karne ka koi plan nahi hai. To ap abhi isko instal kare or acche se keywords research kare.

SEOquake

wmseverywhere-alternatives

SEOquake ek bahut powerfull extention hai. Isme apko kafi sare features mil jate hai. Is extention ki help se ap Keywords research, Volume, CPC, Keyword difficulty, Backlinks, On-page SEO audit, SERP, alexa rank ke sath or bhi bahut sari chije find kar sakte hai.

SEMrush

Ye ek paid tool hai, agar ap paid tool ki help lena chahte hai to ap SEMrush ko try kar sakte hai. Is tool me apko vo sab milega jiski ek blogger ko need hoti hai. Isme ap apni website ki audit kar sakte hai, backlinks check kar sakte hai. Keywords find kar sakte hai. Content analyse kar sakte hai.

Ahref

Ahref bhi SEMrush ki tarah ek paid tool hai. Isme bhi ap vo ab kar sakte hai jo SEMrush me kar sakte hai. Par ye Semrush se thoda cheap hai. In tools ko ap kisi Group Buy Tool website se bhi Buy kar sakte hai. Vaha par apko Ahref or SEMrush 299 approx me ek month ke liye mil jate hai. Agar apko ek accha blogger banna hai to in tools ki help se apko kafi help milegi.

Conclusion

WMS everywhere alternatives ke maine kafi sare option apko bataye hai, apko ab ye sochan hai ke apke liye konsi extention best hai ya paid tool accha hai. Baki logo ki tarah agar apko bhi Wms everywhere alternative chaiye to inme se try kar sakte hai.

Or is article ko apne Bloggers friends ke sath bhi share kare, unko bhi help milegi wms everywhere alternative find karne ke liye.

Leave a Comment