Backlink क्या है| Backlink कैसे बनाये

Jab bhi hum apni site ke traffic ko increase karne ki baat kisi se karte hai ya Site authority increase karne ki baat karte hai to sab ye hi kahte hai ke Backlinks banao. Par ye Backlinks kya hai (Backlink क्या है) or Backlink kaise banye jate hai. Aj is post me mai sab cover karunga ke backlinks kya hai, backlinks kaise banaye jate hai, backlinks banane ke fayde or backlinks kitne tarike ke hote hai.

Jo log blogging ki field me purane log hai unko pata hoga Backlinks ek site ke liye kitne jaroori hai, par jo log naye hai unke liye ye janna bhot jaroori ho jata hai ke backlinks ke kya fayde hote hai ek site ke grow karne ke liye.

Or jo log new hai blogging field me or nahi jante ke Backlinks क्या है ओर Backlinks कैसे बनाये। Unko tension lene ki koi need nahi hai unko hum detail me bataynge ke aakhir backlink kya hai or backlink banane ka kya procedure hota hai.

Backlinks kya hai (Backlinks क्या है) | What is backlinks in Hindi?

backlinks-kya-hai

Seo field ki baat kare or usme Backlinks word na aay aisa nahi ho sakta. Kyunki backlinks ek main factor hai SEO ka or site ki authority increase karne ka or Site par Traffic lane ka.

Backlink ek aisa link hai jo ek site ko dusri site se jodta hai ek link ke jariye, ya aise kahe agar apka link kisi dusri website par hai to usko backlink kahenge apki site ke liye. Agar koi bhi user us link par click karega to apki site par aa sakta hai.

Example: Suppose karo ap kisi party me Neta( Minister) ho, or apke bhot sare followers hai, jo sabhi netao ke hote hai. Or vo sabhi apko support karte hai or apki bate orr logo tak pahuchate hai. In followers ki vajah se orr bhot sare log apko jante hai or ap tak aate hai, apko Vote dete hai. To ye sabhi Followers apke Backlinks hai, or jo ye log hai jo apse milne aate hai ya apko Vote dete hai vo log, logo ke roop me apke liye traffic hai.

Apki Website ke liye ap jitne jyada backlinks banyenge vo bhi High Authority Sites se to apki website Search Engines Me bahot Jaldi Rank karegi.

Matlab Backlinks apke Blog Or Website ko Support karte hai Search Engine Me Rank karne ke liye or apki site par Traffic lane ke liye.

Backlink ke sath 1 or chij hai jo apke Blog ko jaldi rank karne me bahut help karti hai. Or vo hai Keyword. Agar ap acche se keyword search karke apna blog likhenge to rank hone ke chances increase ho jate hai.

Ab mai apko backlinks se jude kuch terms batata hu, uske baad ap acche se jaan paynge ke backlinks kya hote hai or kitne tarah ke hote hai.

Backlink क्या है

1. Link Juice – Jab bhi ek WebPage ka link apki website ke kisi article ke link se ya fir apke Homepage se juda hota hai to vaha se jo link Flow hokar apki Website tak ata hai to use hum Link Juice kahte hai. Yhi link juice apke article ko rank karne me madad karta hai or apke domain authority ko bhi increase karta hai.

2. High Quality Links – Agar apko High Quality Backlinks banane hai to ye backlinks High Quality website se hi banaye. High Quality website vo hoti hai jinka DA PA jyada ho or vo Google me popular ho, in websites ki value google me jyada rhti hai. Agar ap High Quality website se backlinks banate hai to Search engine me apki website ke high ranking me rank  hone ke high chance hote hai.

3. Low Quality Links – Low Quality links vo links hote hai jo kisi aisi sites se aa rhe hai jo site shi na ho jaise Spam sites, Aisi links apki site ko kafi nuksan pahuncha sakte hai, isliye jab bhi ap apni website ke liye backlinks banaye to dhyan rakhe ke vo backlinks kisi High Quality site se hi banaye.

4. Internal Links – Internal links bhot jarori links hote hai apki site ko google me rank karane ke liye. Ye vo link hote hai jo ap ki website ke ek page se dusre page ko internal link karte hai.

Jaise maan lijiye apne ek article WordPress kya hai ke upar likha, or ap is article ko WordPress kaise install kare se link karte hai to ye article apas me interlink ho jate hai. Or inhi ko hum interlinking kahte hai.

Ab apko samajh aa gya hoga ke Backlink kya hote hai, aage hum janenge ke backlink kitne tariko ke hote hai.

Backlinks Kitne Tarike Ke hote hai | Types Of baklinks

Backlinks 2 tarah ke hote hai

  1. DoFollow Backlinks
  2. NoFollow Backlinks

1. DoFollow Backlinks – Jaisa ki ap jante hai link juice kya hota hai, DoFollow Backlink link juice ko ek site se dusri site me link juice ko pass karne me help karta hai.

DoFollow Link apki site ki ranking increase karne me kafi help karte hai, DoFollow link apki Site ki DA PA increase bhi karte hai.

<a href=”yourwebsite.com”>Link Text </a>

Benefits of DoFollow Backlinks-

  • Page rank ko improve karta hai
  • Blog ya website ki authority ko increase karta hai
  • Content ki ranking ko search engine me increase karta hai

Read Also – SEO kya hai

2. NoFollow Backlinks – NoFollow backlink ek website se dusri website tak koi bhi Link Juice pass nahi karta, In link ki Search engine me koi bhi value nhi hoti, NoFollow link apki site ko rank karne me bhi bilkul help nahi karte.

Par ha NoFollow backlink apke blog ke liye kafi acche bhi hote hai, ye apki profile link ko natural look dete hai. Agar apke sare link DoFollow link honge to google ko lagega apka profile natural nahi hai.

Aisa nhi hai ke NoFollow Backlinks ke kuch bhi fayde nahi hai, ek sabse accha fayda ye hai ke in links se apki site par traffic increase bhi hota hai. Jaise agar apka link kisi dusri site par hai or vaha se kisi user ne us par click kara to vo user us link ki vajah se apki site par aa jayga jisse apka traffic increase hoga.

<a href=”yourwebsite.com” rel=”nofollow”>Link Text </a>

Benefits of NoFollow Backlinks-

  • Traffic increase hota hai
  • Dofollow ke sath nofollow backlinks website ko ek stability dete hai, or ye apko google ke aise updates se bachata hai jo apko backlinks banane ke liye Penalize karte hai.

Backlinks Kaise Banye | How to create backlinks in hindi

1. Comment Karke – Backlink Banane ka sabse accha or easy tarika hai Kisi or website or blog par Comment karke. Comment karke ap apni site ke liye backlinks bana sakte hai.

Par commenting vali sites se apko mostly NoFollow Backinks hi milte hai. Lekin isme ye nhi sochna chaiye ke NoFollow backlinks milte hai to unka kya fayda, unko hum na banaye.

Note: Acche Backlinks lene ke liye apko hamesha same Niche ki website se hi Backlinks banane chaiye.

Jaise – Agar apki niche Educaion hai to apko Dusri education vali sites pe Commenting karni chaiye. Isse ye fayda hota hai ke Google ko ye ye backlink relevent lagte hai. Spam nhi lagte ye backlinks google ko.

Chaliye isko ek Example se samjhte hai – Suppose ek Accounts teacher hai or vo apko Physics ki knowledge de raha hai or ek Physics ka hi teacher apko Physics ki knowledge de raha hai to apko kiski knowledge pe jyada bharosa hoga? Obvious hai Physics teacher ki knowledge pe hi na.

Thik isi tarah agar apki education vali site ka backlink sports ki website se milega to google ko ye relevant nahi lagega, google sochega Sports ki website ek education ki website ke liye user ko ku suggest karega, ke user is website par ap visit kare. Relevent tab hoga jab education ki site dusri education ki website ko backlink de. 

2. Guest Post karke – Agar ap chahte hai ke High Quality Dofollow Backlink kaise banaye to iska sabse accha tarika hai Guest Post. Kisi dusri website par jo guest post allow karti hai un par Guest post karke ap accha backlink le sakte hai.

Guest Post ka matlab hai kisi dusri website ke liye article likhna thik usi tarah jaise ap apni site par blog likhte hai. Guest post likhte hue apko kisi topic ko puri tarah cover karna hai, or apko kisi acchi DA, PA vali website par usko post karvana hai, aisi bhot sari sites hai jo guest post allow karti hai, bs apko un websites ke owners se permission leni hogi. Jb apka guest post kisi website par publish hoga to usme apki or apki site ki information bhi hogi or vaha apki site ke liye backlink bhi milega.

3. Profile banake – Bahut sari aisi websites hai jaha ap apni Profile Create kar sakte hai, jisme apko apni website ko add karne ka option bhi mil jata hai.

Maximum Profile Creation vali websites se apko DoFollow backlink milta hai par kuch websites apko no follow backlinks bhi deti hai.

DoFollow or NoFollow Backlinks kaise Detect kare?

Backlinks Detect karne ka ek bhot hi simple tarika hai. Apko apne browser me ek extension Install karni hogi jiska naam hai NoFollow extension. Bas apko isko apne browser me add karna hai. Or fir is extension ki help se apko aram se pata chal jayga ki ap jo backlink bana rahe hai vo DoFollow hai Ya NoFollow hai.

Tips – Kisi bhi website ko rank karane ke liye Backlink ke sath hi On-Page SEO karna bahut hi improtant hota hai. Blogger or wordpress par On-page SEO karne ka tarika thoda alaga hai.

Agar apka budget allow karta hai to wordpress par hi website banaye. Or agar Budget allow nahi karta to ap blogger par site banaye. WordPress par website kaise banye Ya Blogger par website kaise banye janna chate hai to simply Youtube par jaye vaha apko kafi sare tutorials mil jaynge.

Backlinks Banane Se SEO Me Kya Fayda Hota Hai

Ek time tha low-quality backlinks se bhi hamari site easily rank ho jati thi, par jabse Google ki Penguin Algorithm aai hai tabse Google sirf Quality backlinks ko hi preference deta hai.

Ab baat karte hai site ke liye backlink banane ke fayde.

1. Organic Ranking Improve Hoti Hai

Jb bhi apka koi content dusri site se organic link leta hai to naturally hi vo content search engine me higer rank le leta hai. Apko hamesha Homepage ke sath sath Individual pages ke liye bhi link create karne chaiye.

2. Site ki faster Loading

Backlinks google ke search engine bots ko apki site ke links ko find karne me or crwal karne me help karte hai. New website ke liye backlink jaldi rank hone ka ek or jaldi index hone ka acccha tarika hai.

3. Referral Traffic

Backlinks ka ek or benefits ye bhi hota hai ki ye referral traffic ko apki site par lane me help karte hai.

Conclusion

High Quality Backlinks apki site ke liye bhot hi importanat hote hai. Backlinks ki vajah se hi apki site ki Ranking improve hoti hai, Traffic ata hai or DA PA increase hota hai.

Hope apko ye article backlinks kya hai (Backlinks क्या है) acche se samajh aya hoga or accha bhi laga hoga… agar apko backlink se related koi bhi query hai to comment me jaroor bataye. Or is article ko apne friends ke sath share jroor kare.

 

 

9 thoughts on “Backlink क्या है| Backlink कैसे बनाये”

  1. यह लेख इतना अच्छा था कि मैंने एक भी शब्द नहीं छोड़ा, और मैं यह नहीं बता सकता था कि इसे पढ़ते हुए कितना समय बीत गया। मैं आपके लेख दैनिक आधार पर पढ़ता हूं और जब मुझे वे दिलचस्प लगते हैं तो शेयर करते हैं।
    आपसे प्रेरित होकर मैंने 2021 में क्वालिटी बैकलिंक कैसे बनाये पर आर्टिकल लिखा है। सर, आप हमेशा हमारे लिए लेख लिखने में सहायक होते हैं, और यह भी हमारी जिम्मेदारी है कि आप अपने लेख को अधिक से अधिक शेयर करें। अविश्वसनीय रूप से बहुत बहुत धन्यवाद।

    Reply

Leave a Comment