Kya Apka bhi Google AdSense account baar baar reject ho raha hai?
Kya apko abhi tak Google AdSense account nahi mila?
Kya ap chate hai ke apko bhi AdSense account jaldi hi mil jaye!
To ap is article ko dhyan se padhe… Is post me mai apko Step By Step bataunga ke Google AdSense Account Approve Kaise Karaye. Bas ap is article me diye hue sare steps ko Follow kare.
Google ki policies ke according India, Pakistan jaisi countries me Domain ko 6 Months purana hona chaiye… Par aisa bilkul bhi nahi hai.
Agar ap Google aadsense ki sabhi Guidelines ko acche se follow karte hai to apko Adsense approval jaldi hi mil jayga.
Kafi log mante hai ke Adsense account pane ke liye apko 20 se jyada articke likhne honge or sabhi ki length 2000 words honi chaiye. Page views 500-2000 hone chaiye. Premium theme honi chaiye. Par aisa bikul bhi nahi hai or ap in sabke bina bhi approval le sakte hai. Bas apko baki chijo ka khyal rakhna hoga.
Generally new bloggers 2000 words ka article nhi likh pate. Or sare posts to bilkul bhi nahi. Isliye is post me mai apko easy or full proof tarika bataunga Adsense Approval Trick ka Hindi me.
Also Read – Google Adsense Account Kaise Banaye
Google AdSense Account Approve Kaise Karaye
Sabse phle apko Google Adsene par account banana hoga. Account banaye time hum kuch galtiya bhi kar dete hai jisse hume bachke rahna chaiye.
1. Website ka design kaisa hona chaiye
Agar apko apni website adsense me approve karani hai to sabse phle apko apni website ka user interface accha karna hoga. Apki website user friendly honi chaiye. Agar apki website user friendly nahi hai to apko approval nahi milega.
2. Must have pages
Apko apni website par Privacy policy, contact us, about us or disclaimer, Ye pages jaroor banane honge. Inhi pages ki help se google ko ye pata chalta hai ki ye website kiski hai, kis topic ki hai, is website par user ko kya padhne ko milega, Or user website se kaise contact kar sakte hai.
3. AdSense Approve karane ke liye posts kitne hone chaiye?
Kya apko pata hai Google apko adsense ki kamai ka 68% deta hai. To iska matlab ye hua ke google bhi chahta hai ke jyada se jyada sites par add aaye. Kunki adds se google ko bhi earning hoti hai. To aisa bilkul bhi nahi hai ke google nahi chata ke logo ki sites par adds nahi aay.
Logo ka manna hai ke adsense approve karane ke liye minimum 20 posts likhe hone chaiye or sabhi 2000 words ke hone chaiye. Par aisa nhi hai. Adsense approve karane ke liye apne apni sie par jitne pages banaye ho usse jyada posts likhe hone chaiye.
Jaise agar apne apni site par 6 pages banaye hai to kam se kam 6-7 posts likhe.
Google ko content accha chaiye or detail me chaiye. Google chata hai ke user jo search karta hua apki site par aaya hai, uska vo intention pura ho or satisfy hokar jaye.
To agar content accha ho or 1000-1200 words ka bhi ho to bhi chalega.
4. Adsense approve karane ke liye traffic kitna hona chaiye
Blog monetization kab hota hai
Google Adsense ki guidelines ke according jis site par ap adsense lena chate hai uspe regular traffic hona bahut jroori hai. Par aisa nahi hai ke 2000-3000 page views/day hona chaiye.
Lekin ha 300-400 pageviews/day to hona hi chaiye. New site par traffic lane ke liye ap social media sites jaise Facebook, Twitter, Instagram or Pinterest ka sahara le sakte hai. In sabhi sites par account banaye or apne articles vaha par share kare.
5. Google adsense approve karane ke liye ye nahi karna chaiye
Google ko hamesha ek saaf suthri website chaiye hoti hai. Vo nahi chata ke user ko kuch aisa dikhe jo users ke liye sahi na ho.
Agar ap chahte hai ke apko adsense jaldi mile to aise materials se apni site ko door rakhe jo user ke liye sahi na ho. Or agar aisa kuch hota hai apki website par to ho sakta hai apka adsense account disable ho jaye.
Aage apko batata hu aisi konsi chije hai jinse site ko door rakhna chaiye.
Third-party script – Amazon, Flipkart, snapdeal or other third parties sites ki links ko apni site me nahi lagana chaiye kunki ye hamari site ki speed ko bahut slow kar deti hai or user eperience bhi kharab karti hai.
Pornography – Agar kisi website par aise kuch content hai jo Direct Pornography ko promote karte hai to us website ko Google kabhi adsense approval nahi dega. Koi bhi aisi Image, Video or Audio ka use na kare jo Porn(18+) se Related ho.
Piracy content – Google nahi chata ke ap apni website par aisa content daale jo apka nahi ho, jaise kisi dusre ki site se copy kiya hua ho. Jaise Movies or Songs downloading links, Copywrited images.
Subscribers form or Social Share – New bloggers ye galti jaroor karte hai ke dusre bloggers ki website ko dekhkar apni site par subscriber from or social share width ko laga dete hai jo adsense ke anusaar shi nahi hai.
Kunki Google chata hai ke ap user ke sath acchi information share kare, lekin humstarting me hi subscriber or social followers collect karna start kar dete hai jiske karan hume Google Adsense approval nahi mil pata. Khne ka matlab yhi hua ki starting me ap site par kewal page or posts hi show karaye. Baad me ap Social follower link ko aoni website me laga sake hai.
Conclusion – Google AdSense Account Approve Kaise Karaye ye apko pata chal gya hoga. Bas ap accha content likhe or apni website ka user interface accha rakhna hoga. Jroori pages banaye.
Agar apko ab bhi koi problem aa rhi ho to ap mujhe comments me bataye.