Google Kya hai ? Google Ki Full Form Kya Hai

Aaj ke time me hume jab bhi kisi chij ki informaion chaiye hoti hai hai to sabse phle dimag me ek hi naam ata hai or vo hai google. 

Jab bhi koi humse kuch puchta hai ya jankari lena chata hai or hume uska answer nahi pata hota to hum bhi yhi kahte hai ke bhai Google kar le.

Par sabko ye nhi pata ke aakhir Google Kya Hai (Google क्या है)or Gogle kaise kaam karta hai.

Is article me detail me discuss karenge ke aakhir google kya hai. Is article ko read karne ke baad apke mann me ek bhi sawal nhi hoga google se juda jo apko pata na ho.

Aaj ke time me aisa shayad hi koi hoga jisko Google ki need na padti ho, Chahe vo khana banane ki new recepies find karne ke liye ho, ya baccho ko padhai me adat ke liye.

Aj ke time me to kafi log Google se ghar baithe paise bhi kama rahe hai. Or acchi income bhi kar rahe hai.

Google Kya Hai What Is Google In Hindi

Google internet ka sabse bada or accha search engine hai, yaha pe apko lagbhag sab chij ki information sec me hi mil jati hai. Or sabse acchi baat ye hai ke apke paas bas internet hona chaiye. Or fir jo chahe search kar sakte hai vo bhi bilkul free me.

Google Ka Full Form | Google की फुल फॉर्म 

Hum har roj na jane kitne baar google ka use karte hai par kya apko ye pata hai ke Google Ka Naam Kya Hai. Ya Google Ka Full Name Kya Hai.

Google word me total 6 alphabets hai jinse google bana hai.

Vaise to google ka koi bhi official full form nahi hai jo company ne bataya ho par ek google ki full form hai jiske bare me sabhi jante hai or isko hi sahi full form mante hai.

G – Global
O – Organization
O – Oriented
G – Group
L – Language
E – Earth

Google Ki Khoj Kab Hui

Apko ye janke hairani hogi ke google ka asli naam google nahi tha. Balki google naam ki khoj ek galti ke karan hui. Google ko banane vale iska naam Googol rakhna chate the jiska matlab hota hai 1 ke baad 100 zero.

Par Naam ke Letter me hui galti ke karan Google ka naam Googol ki jagah Google pda. Joki aaj internet par sabse jyada famus naam hai. Baccha baccha google ko janta hai.

Google ki khoj ke university project ke roop me hui. Iske banane vale iske founders Sergey Brin or Larry Page year 1996 me Stanford University ke students the or unhone internet par files dhunne ke liye Google Search engine banaya tha jo baad me ek Sabse bada search engine bana.

Google Ka Malik Kaun Hai

Google ke founders Larry Page or Sergey Bin hai. In dono ne hi milkar google ko banaya tha or fir baad me google company ko established kara. Yahi dono Google ke Malik Hai.

Google Ke CEO Kon Hai 

Apko ye jankar khusi hogi ke Ab google ke CEO ek Indian hi hai jinka naam Sundar Pichai hai. Jinka Janam Madurai, India me hua tha. Inhone apni B-tech Institute of Technology Kharagpur se kari hai or inki stream metallurgical engineering thi. Baad me ye US chale gye furher studies ke liye.

Sundar pichai ne year 2004 me google ko join kara tha. Or aage chalkar August 10, 2015 ko inko google ka CEO banaya gya.

Google ka product Android jo aaj lagbhag sabhi phones me us hota hai usko develop karne me Sundar pichai ka kafi bada role hai.

Shayad ap ye jaan kar shock ho jaye ki Sundar Pichai ki yearly income nearly 1200-1300 crore Rs. hai.

Google Kis Desh Ki Company Hai

Google United States Of America (U.S) ki company hai. Google ki Parent company ka Naam Alphabet hai.

Google ki History

Apko ye janke bada motivation milega ke kaise 2 college ke dosto ne milkar ek aisi company khadi kardi jo aj duniya ki sabse badi company me se ek hai. Or vo bhi tab Jab vo sirf ek college project tha.

Chaliye aage jante kaise in 2 dosto ne milkar Google jaisi badi company banai.

1995 me Larry Page Or Sergey Brin ne Stanford University, California me PHD me admission liya.

1996 me PHD ke research project ke roop me ke project par kaam karna start kara.

Is project me unhone ek aisi website banane ke bare me socha jisme ek website ko dusri site se upar rank karaye. Us time unka rank karane ka tarika ye tha ki kisi ek word ko bar bar search kro to vo word webpage me sabse upar aa jayega.

Or yhi project aage chalkar Google bana jiska naam starting me BACKRUB tha.

1997 me Dono dosto ne Googol se naam badalkar Google rakh diya.

1998 me Google ka phla Doodle Homepage bana.

Doodle Homepage Kya Hai

Doodle me Google har roj Apne Homepage par Google ke Logo ko change karke aise logo ki uplabdhiyo jinhone kuch bada kara ho apne jeewan kaal me, ya chuttiyon, ghatnao ke upar ek image bana ke apne Google logo ki jagah laga deta hai.

Ab Doodle ka aayojan or prakashan ek team ke dwara kiya jata hai jinko Doodlars Kahte Hai.

2000 me Google ne Google AdWords banaya jo hai duniya ki sabse badi Online Advertisement Company hai. Lakho business aj AdWord ki vajah se hi itne bade bane hai.

Google par kuch search karne par jo adds aate hai ya kisi website me jo adds aate hai vo sab AdWords ki vajah se hi aate hai.

Isme text ads, video ads, or mobile ads hote hai.

2004 me Google ne Gmail ko launch kara. or uske sath Google Drive bhi di jisme aap data ko store kar sakte hai.

2006 me YouTube aai jo aaj google ka hi ek product hai.

2007 me Google ne Android ko kharid liya jo aaj duniya ke sabse jyada mobile me use hone vala operating system hai.

2008 me Google ne Crome Browser ko launch kara.

2011 me Larry page google ke new CEO bane or Google+ project start kara.

2012 me android 4.1 jelly bean ka upate aya. Or sath me Google voice search feature ki shuruwat hui.

To Ye tha Google ka Itihaas, History of Google.

Ab Jante hai ke kuch Products ke bare me

Google Ke Products

  • Android – Smartphone me use hone vala operating system.

android-xtremehindi

  • Blogger – Free me personal blog create karne ka platform.

Blogger-xtremehindi

  • Chrome Browser – Internet Browser jisme ap website ko open kar sakte hai.

chrome_logo_xtremehindi

  • Gmail – Free me Email send karne ki service. Jo ki no. 1 email service hai.

Gmail-xtremehindi

  • Google+ – Google ki apni Social networking site. Par ye ab close kar di gyi hai.
  • Google AdSense – Website owner ko apni website par adds show karne ki service.

google-ads-logo-xtremehindi

Read This Also – Google Adsense Account Kaise Banaye

  • Google AdWords – Isse user websites ya google homepage par adds chala sakte hai apne business ko grow karne ke liye.
  • Google Analytics – Apni website par visitor ko monitor karne ki service.
  • Google Translator – Kisi bhi language ko apni native language me translate karne ke liye.
  • Google Maps – Isme ap kahi se bhi kahi tak ka map dekh sakte hai. Mai to iske bina shayad hi kahi ghumne ja pata.

Google-Maps-xtremehindi

  • Google Pay (Tez) – Google ki apni UPI payment app, isse ap recharge, Billpay, ya kisi ko bhi paise transfer kar sakte hai.google-pay-xtremehindi

Kya apko pata hai ab aap Google Pay Se loan bhi le sakte hai.

Agar nahi to is article ko padhe – Google Pay Se Loan Kaise Le?

  • Youtube – Video streaming app. youtube aj videos ka ek search engine hai. Yaha Millions me videos hai.

YouTube_xtremehindi

Ap log kafi time se Google ka use kar rahe honge, or Google ke kafi products ka bhi. Bina Google ke jindgi shayad bhot mushkil ho jati, accha hai hamari generation ke pass Google hai.

To dosto hope ke apko Google Kya Hai(Google क्या है) or Google ki History ke bare me jankar accha laga hoga.

Agar apka koi suggestion ya doubt hai to comments me jroor bataye.

Or Blogging, SEO, Affiliate marketing se judi jankari pane ke liye hume Facebook, Twitter, Instagram par follow kare.

2 thoughts on “Google Kya hai ? Google Ki Full Form Kya Hai”

Leave a Comment