SEO Kya Hai | SEO क्या है

Maine Website to bana li or bahut sare post bhi site par post kar diye par na mere blog par traffic aa raha hai or na hi meri website Google Ke SERP (Search engine results page) me show ho rahi hai…

Agar ye sawal aapke mann me bhi aata hai to iska sirf ek hi Answer hai, or vo hai SEO…

Ab ap soch rahe honge SEO kya hai (SEO क्या है) ,,… To chaliye jante SEO hota kya hai.

Par SEO kya hota hai issko janne se phle jante hai SEO ka meaning kya hota hai

Full-Form Of SEO

Seo ki full formSearch Engine Optimization hoti hai

SEo-full-form-kya-hai-xtremehindi

 

SEO kya hai or kaise karte hai isko janne se pahle ye janna bahut jaroori hai ke Keywords kya hota hai.. Kunki bina Keyword ke hum SEO nhi kar sakte.

Keywords Kya Hote Hai

Keyword vo hota hai jo hum google par search karte hai.

Jaise humne google par search kara Online Paise kaise Kamaye

To ye Online Paise kaise Kamaye hamara keyword hai. Isi ko dhyan me rakhke ke hume apna article likhna hota hai. Or fir isi keyword ke upar hi hum SEO karte hai.

SEO Kya Hai (SEO क्या है)? What is SEO in Hindi?

Har blogger ya website owner ko SEO ki Basic knowledge honi bahut jaroori hai.. Kunki bina seo ke ap google ke First page me nhi aa paynge.. Ya apke liye bhot difficult ho jayga first page me aana bina seo ke.

SEO ka main use apni website ko google ke first page me lane ke liye hota hai. Kunki sabhi log sirf first page ki websites ko hi dekhte hai.

Agar hamari website first page par nahi aari hai to hamari website par koi bhi traffic nahi aayga, or jab traffic nahi aayga to hamare content ko read kon karega…. Agar koi read hi nahi kar raha to us content likhne ka fayda kya hua.. or jab koi website par aa hi nahi raha to hame earning bhi nhi hogi.. Kunki earning bhi visitors ke aane se hi hoti hai.

SEO Digital Marketing field me sabse upar aata hai. Kunki SEO ki vajah se hi hamari website ki ranking improve hoti hai.

Badi Badi companies lakho rupe kharch karti hai sirf SEO ke upar.

 SEO Kyu Jaroori Hai

Google par daily lakho articles publish hote hai. Un lakho articles me se apka article hi first page par aay iske liye apko SEO ki need hoti hai.

Free Organic Traffic –

Google par lakho articles me se hamara post hi sabse upar aay iske liye hume SEO ki need hoti hai. SEO sabse accha or sasta tarika hai apne blog ki marketing karne ka. Or traffic lane ka apne blog par.

Targeted Traffic –

SEO karne ka ek ye bhi fayda hai ke hume sirf targeted traffic milta hai. Hamara traffic usi post par aayga jo user search kar raha hai. Aisa nhi hoga ke user food receipe search kar raha hai or usko bike ke related blog mile.

SEO Kitne Tarah Ke Hote Hai

SEO 2 tarah ke hote hai On-Page SEO or Off-Page SEO

On Page SEO Kya Hota Hai

On Page SEO me hum sab kaam apni website ke backend me karte hai. Isme hume kisi dusri website ki need  nahi hoti.

Website ki ranking ko improve karne me on page seo bahut help karta hai. Or isme hume kuch jyada mahnat bhi nahi karni padti.

Agar hamari website ka on page seo sahi nahi hai to google hume first page par kabhi nahi aane dega.

On page seo karne ke liye kuch points hai jo mai niche article me bataunga.

  • Keyword Research

On-Page SEO karne ke liye hume sabse phle keyword research kara hua hona chiaye. Keyword kya hota hai ye maine apko upar bata hi diya hai.

Keyword research karne se hume ye idea ho jata hai ke is keyword ko kitne log Google par montly search karte hai. Kyunki agar koi keyword ko search hi nahi karta ya use keyword ki search volume hi nahi hai to us par article likhne se kuch fayda nahi hota.

Jab ap kisi keyword ko search kar lete hai or ab us par article likhna chahte hai to ab ap usi keyword ko apne Blog me use karenge. 

Keyword ko Blog me kaha kaha use karenge?

  • Keyword ko sabse phle apne Blog ke Title me use karenge.
  • Blog ke first 100 words me
  • Uske baad H1, H2 headings me
  • Fir Blog ki body me.
    Blog ki body me Keyword apke blog ki Length ke according use hota hai. Iska criteria jo bade bloggers batate hai vo hai maximum 1% Blog of blog content. Suppose apka article me 1000 words hai to ap 5-5 baar keyword ko use kare.
  • Or sabse last me apke blog ke last words me.

Keyword research karke apne blog me use karne ka ek fayda ye bhi hai ke jab Google ke Crwalers apke blog par aate hai to Crawlers ko ye pata chal jata hai ke ye post ki topic par hai. 

Keyword Find karne ke kuch Tools

Free keyword Research Tool

Paid keyword Research Tool

  • Ahref
  • Semrush
  • KeywordEverywhere

  • Meta Title Optimization

Title vo hota hai jo google me kuch search karne ke baad top par dikhta hai.

Title ko hume aisa banana chaiye jisko dekh ke log hamare article ko padhe aay. Title me hume apne main keyword ka use jroor karna chaiye. Isse bhi humari ranking me fark padta hai.

Ek acche title ko use karke hum apni website ka CTR (click through rate) increase kar sakte hai.

Isliye sabhi blogs ke title me acche title with keyword ka use kare.

  • Meta Tag Optimization

seo-kya-hai

Search result me jo title ke niche description show hota hai usko meta description kahte hai.  Ye description bhi hume bahut attractive banana chaiye. Jisse user uspar click karne ko majboor ho jaye.

Meta Tag me bhi hume apne main keyword ka use karna chaiye.

  • Permalink

Permalink hamare blog ka ek unique link hota hai. Jaise https://xtremehindi.in/blogging-kya-hai/

Isme Xtremehindi site ka naam hai or jo aage Blogging kya hai likha hai vo blog ka url hai. Pura ye permalink hota hai.

  • Meta Tag| Description

Description me bhi hume Apne keywod ka use karna chaiye. 

  • Website speed

Website speed Hamare on page SEO ko improve karne me bahut help karti hai. Kunki agar website ki speed shin a ho or jb user Google me search or hamari website ka link aay or hamari website na open ho to user hamari website ko chor kar kisi dusri website par chala jayga.

Ek Survey ke according visitor maximum 4-5 seconds hi kisi website ke open hone ka wait karta hai. Website speed se bhi hamari ranking me bahut fark padta hai. Agar speed sahi na ho to bhi hamari ranking decries ho jati hai.

Website ki speed increase karne ke liye kya kare

  • Simple, Attractive or Fast theme ka use kare
  • Image ka size kam se kam rakhe
  • Jyada plugins na use kare
  • Jetpack, W3 total cache jaise plugings use kare jo website ki speed improve karte hai
  • Website Navigation

Blog ka structure bhot simple hona chaiye. Upar menu me categories rakhni chaiye or un categories ke according hi post publish karne chaiye.

  • Internal linking

Kisi bhi blog ki ranking improve karne me Internal linking bahut help karti hai. Isse user bhi ek page se dusre page par asani se ja sakta hai. Or google ko crawl kane me bhi help hoti hai sare pages ko.

  • Alt Tag

Jab bhi ap kisi image ko apne blog me add kare to uske ALT TAG me apna keyword jaroor add kare. Kunki google me hamari image bhi rank kari hai, jisse hame traffic milta hai.

  • Content Heading

Content headings ka bhi hume khyal rakna chaiye ke shi se use ho. H1 heading Article ka Title hi hota hai. Or uske baad ap H2, H3 headings ka use kar sakte hai.

Off Page SEO Kya Hai

Ab tak apne jaan liya hoga ke On Page Seo kya hai. Ab janenge OFF Page SEO kya hai. Ab ap soch rahe honge ke OFF Page SEO Expert Kaise Bane. To off-page seo karna bhi bahut hi easy hai. Bs hume sahi se karna ata hona chaiye.

Apne Backlinks ke bare me to suna hi hoga, backlinks kya hote hai or backlinks kaise banaye jate hai. Backlinks hamari website ke bahar se banaye jate hai.

Backlinks SEO ka ek bhot bada or jroori part hai. Bina backlinks ke site ko jaldi grow karna bhot difficult ho jata hai.

To ab Baat Karte Hai SEO Kaise Sikhe jisse backlinks banana aa jaye.

Backlinks kya hote hai iske liye ap mera ye article read kar sakte hai jisme maine detail me bataya hai ke backlinks kya hote hai.

Read More – Backlinks kya hai

Read More – Blog Niche Kya Hoti Hai

Read More – Blogging Se Paise Kaise Kamaye

Off page seo me hum backlinks sab website ke bahar se banate hai. Backlinks ka matlab hai ek website ka dusri website ko link dena.

Suppose apki ek website Food blog par hai, to agar ap dusri kisi food site par jake backlink banate hai to google ko apki website ko crawl karne me bhi help hoti hai or apki website ka DA PA bhi increase hote hai. Or sath me apko ek backlink bhi milta hai.

Backlinks kaise banaye | Off page SEO kaise kare

Chaliye jante hai backlinks banane ki or off page seo karne ki techniques, jo ap logo ko kafi help karegi.

  • Search Engine Submission – Isme hum apni website ko sabhi search engines like Google, Bing, Yahoo me subkit karte hai.
  • Guest Post – Agar ap instant Do follow link chahte hai to Guest post kare. Guest Post ka matlab hai hum kisi or ki website ke liye post likhe. Isse fayda ye hota hai ek hume ek to backlink milta hai or dusra us site ke users hamari site par aate hai jisse traffic increase hota hai.
    Dhyan rakhe guest post humesha acchi DA vali website par hi kare.
  • Directory Submission – Directory Submission me hum apni website ko Directory Submission ki website e submit karte hai.
  • Bookmarking – Apne blog ko bookmarking ki sites me add karna.
  • Classified Submission – Free classified sites jaise OLX, Quicker me submit karna.
  • Blog commenting – Apne related niche vale blog me jakar comment kar sakte hai. Blog commenting se kafi acche backlinks milte hai.
  • Q&A sites – Ap Q&A sites like Quora me jakar apne blog ke related question ko answer kar sakte ho or sath hi vaha apna link bhi laga sakte ho.
  • Social Media – Apko apni website ka Page har social media site me jaroor banana chaiye jaise Facebook, Twitter, Instagram.

Off Page SEO Karte Time Kin Bato ka Dhyan Rakhe

Off page SEO Karte Time Hume kuch chijo ka khyal rakhna bahut jaroori hota hai jaise.

  • Hume same niche ki website par hi backlinks banane chaiye.
  • Website ki DA PA check karni chaiye. Jitni jyda DA PA hoga utna hi hume accha backlink milega.
  • Spamming se door rahna chaiye.
  • Blog commenting ek bahut accha backlink banane ka tarika hai.

Local Seo Kya Hota Hai or Local SEO Kaise Karte Hai

Local SEO me hum kisi ek particular area ya city ko target karte hai. Isme hume puri duniya ko target karne ki ya apni website rank karane ki need nahi hoti. Bas hume kisi ek area ko focus karna hota hai.

Local SEO mainly business karvate hai, jaise Schools, College, Hotal and restaurant ya jaise koi shop ho.

Kunki inko sirf apne pass ke logo se matlab hota hai, or unhi se unka business ata hai.

Hope Ke apko ab samajh aa gya hoga ke SEO kya Hai (SEO क्या है ) or SEO kaise karte hai (SEO कैसे करे) Off page SEO क्या है or On page SEO क्या है ye bhi samajh aa gya hoga.

SEO karne ke liye bas apko Keywords kya hota hai or unko kaise acche se  use karte hai ye janna hoga. Bas jo maine techniques batai vo follow kariye fir ap bhi kuch dino me SEO expert ban jaynge.

Baki agar kuch bhi doubt ho to mujhe comment me bataiye sath hi ap mujhe Facebook, Twitter, Instagram par follow karke bhi apne doubts puch sakte hai.

Ye article pasand aya ho to isko share karna na bhule.

2 thoughts on “SEO Kya Hai | SEO क्या है”

Leave a Comment